Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bohot Door Chale Jayenge

Irfan Haider

2015Urdu
2015UrduImam HussainMuharram
Bohot Door Chale Jayenge is a 2015 noha recited by Irfan Haider, portraying Imam Hussain's farewell to his young daughter Bibi Sakina on the night before Ashura. The verses describe a father's final embrace, the separation to come and Sakina's coming journey through captivity.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Lyrics

Bohot Door Chale Jayenge Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bohot Door Chale Jayenge

Bohot Door Chale Jayenge

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Bohot Door Chale Jayenge

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sakina (×4)

Daswin Ki Sahar Hone Se Pehle
Beti Ko Bulaya Baba Ne
Aur Ro Ke Yeh Kaha
Aa Seene Pe So Ja Aakhri Baar
Yeh Aakhri Shab Hai...

Kal Hum Na Rahenge
Is Khaak Mein Hum So Jayenge
Bohot Door Chale Jayenge...

Sakina... Baba...
Bohot Door Chale Jayenge...

Is Dasht Mein Soyenge
Tere Chahne Wale
Allah Tujhe Beta
Yateemi Se Bacha Le
Yeh Aakhri Shab Hai...
Tum Dhoondogi Hum Ko
Hum Laut Ke Ghar Na Aayenge

Tarpogi Yahan Tum Bhi
Wahan Dasht Mein Hum Bhi
Hum Donon Ko Sehne Hain
Yeh Furqat Ke Sitam Bhi
Yeh Aakhri Shab Hai...
Aa Baith Mere Paas
Ab Khwab Mein Hi Mil Payenge

Jee Bhar Ke Mohabbat Ka
Main Izhar To Kar Loon
Aaghosh Mein Aa Jao
Tumhein Pyar To Kar Loon
Yeh Aakhri Shab Hai...
Dil Thaam Lo Beta
Hum Tum Se Juda Ho Jayenge

Woh Aun-o-Muhammad Ho
Woh Qasim Ho Ke Akbar
Hurr Ho Ke Habib Ibn-e-Mazahir
Ho Ke Asghar
Yeh Aakhri Shab Hai...
De Denge Dilase
Maqtal Mein Sabhi So Jayenge

Na Dhoop Ki Shiddat Se
Na Tarpogi Sitam Se
Haan Pyas Ka Shikwa To
Karogi Kabhi Hum Se
Yeh Aakhri Shab Hai...
Kal Denge Chacha Jaan
Jab Paani Lene Jayenge

Seene Pe Kabhi Maa Ke
Tujhe Sona Parega
Pehlu Mein Phuphi Jaan Ke
Tujhe Sona Parega
Yeh Aakhri Shab Hai...
Aa Seene Pe So Ja
Kal Yeh Bhi Nahi Keh Payenge

Ab Tera Muqaddar Hai
Safar Aur Aseeri
Bazaar Bhi Jana Hai
To Zindan-e-Sitam Bhi
Yeh Aakhri Shab Hai...
Pehnogi Rasan Jab
Hum Tum Ko Bohot Yaad Aayenge

Aadat Kahan Seene Ke
Siwa Sone Ki Beta
Chhin Jayega Kal Tujh Se
Tere Baba Ka Seena
Yeh Aakhri Shab Hai...
Hum Daagh-e-Yateemi
Ae Beta Tujhe De Jayenge

Jumle Yeh Shah-e-Deen Ke
Fughan Ban Gaye Mazhar
Jo Nohe Ki Soorat Mein
Hain Irfan Ke Lab Par
Yeh Aakhri Shab Hai...
Kal Hum Na Rahenge
Is Khaak Mein Hum So Jayenge
Bohot Door Chale Jayenge...

Sakina... Baba...
Bohot Door Chale Jayenge...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.