Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bus Ek Chaadar

Irfan Haider

2019Urdu
2019UrduImam HussainMuharram
Bus Ek Chaadar is a 2019 Urdu noha recited by Irfan Haider. The lament portrays Imam Zainul Abidin's anguish as he witnesses the women of the Ahlulbayt being taken through Shaam without their veils. It remembers Bibi Zainab, Umm Kulthum and the hardships of the captives at Halab, the marketplace of Damascus and Yazid's court.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Bus Ek Chaadar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bus Ek Chaadar

Bus Ek Chaadar

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Bus Ek Chaadar

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sajjad, Haaye Sajjad

Diyar-e-Shaam Mein Sajjad Ka Yeh Nauha Tha
Jin Ke Ghar Se Hua Islam Mein Parda Qayam
Haaye Afsos Wohi Bibiyan Hui Nang-e-Sar
Nawasiyon Ko Nabi Ki Logo Nahi Mayassar
Bus Ek Chaadar (×2)

Haaye Sajjad, Hussain Ibn-e-Ali Ka Beta
Tauq-o-Zanjeer Pehen Kar Jo Soo-e-Shaam Chala
Jis Ka Ghairat Ke Sabab Raah Mein Sar Bhi Na Utha
Duniya Walon Ne Jise Sabr Ka Mabood Kaha
Phuphi Ki Khatir Woh Mangta Hai (×2)
Damishq Ja Kar Bus Ek Chaadar
Nawasiyon Ko Nabi Ki Logo Nahi Mayassar
Bus Ek Chaadar (×2)

Qafila Shehr-e-Halab Pahuncha Jo Shireen Ke Ghar
Aur Mili Shireen Ko Sadat Ke Aane Ki Khabar
Haaye Zainab Ko Na Pehchan Saki Nek-Siyar
Poochha Shehzadi Se Tum Kaun Ho Ae Nohagar
Kaha Yeh Zainab Ne Mangti Hai (×2)
Ali Ki Dukhtar Bus Ek Chaadar
Nawasiyon Ko Nabi Ki Logo Nahi Mayassar
Bus Ek Chaadar (×2)

Umm-e-Kulsoom Yeh Fizza Se Bayan Karti Hai
Bibiyo Shaam Ka Bazaar Abhi Baqi Hai
Haaye Ghayyur Baradar Ki Behen Roti Hai
Naam Bazaar Ka Aate Hi Tarap Jaati Hai
Pukarti Hai Kahin Se La De (×2)
Mere Baradar Bus Ek Chaadar
Nawasiyon Ko Nabi Ki Logo Nahi Mayassar
Bus Ek Chaadar (×2)

Al-Gharaz Aa Hi Gaya Raah Mein Bazaar-e-Shaam
Aisa Mahaul Tamashayi Khare The Har Gaam
Ek Janib The Adu Ek Taraf Tishna-Kaam
Shimr Ne Aa Ke Kiya Bint-e-Ali Se Yeh Kalam
Bulao Abbas-e-Bawafa Ko (×2)
Woh De De Aa Kar Bus Ek Chaadar
Nawasiyon Ko Nabi Ki Logo Nahi Mayassar
Bus Ek Chaadar (×2)

Bab-e-Sa'at Pe Sitamgar Haram Ko Laaye
Chand Ghante Isi Manzil Pe Khare The Pyase
Poochha Sajjad Ne Kyun Barhte Nahi Tum Aage
Shimr Kehne Laga Darbar Saja De Pehle
To Boli Mushkil-Kusha Ki Beti (×2)
Ae Baba Haider Bus Ek Chaadar
Nawasiyon Ko Nabi Ki Logo Nahi Mayassar
Bus Ek Chaadar (×2)

Khatm Hai Nauha Yahin Mazhar-o-Irfan-e-Aza
Dekha Sajjad Ne Darbar Mein Manzar Gham Ka
Saat Sau Kursi-Nasheen Aur Nabi Ka Kunba
Ahl-e-Darbar Se Sajjad Ne Ro Kar Yeh Kaha
Nawasiyon Ko Nabi Ki Logo Nahi Mayassar
Bus Ek Chaadar (×2)

Bus Ek Chaadar (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.