Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Diya Jalaye Rakhna Hai

Irfan Haider

2012Urdu
2012UrduImam HussainMuharram
Diya Jalaye Rakhna Hai is a powerful noha recited by Irfan Haider calling on the followers of Imam Hussain (AS) to preserve Azadari, mourning assemblies, the standards of Hazrat Abbas (AS), and the remembrance of the martyrs of Karbala. Through its repeated promise to keep the lamp of mourning burning, it encourages devotion, courage and the continuation of the traditions of the Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Lyrics

Diya Jalaye Rakhna Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Diya Jalaye Rakhna Hai

Diya Jalaye Rakhna Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Diya Jalaye Rakhna Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Hussain Hussain Ya Hussain (×2)
Ya Hussain

Mere Hussainiyo Suno
Sadiyan Hain Gawah Wallah (×2)
Shabbir Hai Saarallah (×2)
Yeh Azm Jazakallah
Haihat Minaz-Zillah
Haihat Haihat Haihat Minaz-Zillah (×2)
Haihat Minaz-Zillah (×3)

Haar Jaana Jaan-o-Tan
Yeh Chalan Na Chhodna
Majlison Mein Aana Jaana
Yeh Apnapan Na Chhodna, Chhodna

Tum Ho Dua-e-Fatima Zehra
Wada Karo Sab Ahl-e-Aza
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Chahe Tumhari Jaan Bhi Jaye
Ek Azakhana Har Ghar Mein
Tumko Sajaye Rakhna Hai

Tum Ho Dua-e-Fatima Zehra
Wada Karo Sab Ahl-e-Aza
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Wada Karo Shabbir Ki Maa Se
Behte Hue Har Ashk-e-Aza Se
Bante Hue Mukhtar Aur Meesum
Ladte Hue Zulmat Ki Hawa Se
Seenon Pe Apne Tamgha-e-Matam
Seenon Pe Apne Tamgha-e-Matam
Tumko Sajaye Rakhna Hai

Tum Ho Dua-e-Fatima Zehra
Wada Karo Sab Ahl-e-Aza
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Seena Ba Seena Badhta Rahe Gham
Ruk Na Sake Yeh Majlis-o-Matam
Dekho Kabhi Jhukne Nahi Paye
Ooncha Rahe Abbas Ka Parcham
Yeh Jo Bana Hai Halqa-e-Matam
Yeh Jo Bana Hai Halqa-e-Matam
Isko Banaye Rakhna Hai

Tum Ho Dua-e-Fatima Zehra
Wada Karo Sab Ahl-e-Aza
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Khuda Kare Yeh Gham Rahe
Yeh Gham Rahe Sada Rahe
Yeh Majlisein Yeh Taziye Alam Rahein
Nagar Nagar, Shehar Shehar
Gali Gali, Makan Makan
Qadam Qadam, Jagah Jagah
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Haan Yeh Mohabbat Ka Hai Taqaza
Bhoole Nahi Ehsan Is Ghar Ka
Apne Jawanon Ke Laashon Par
Barpa Karein Matam Akbar Ka
Apne Sabhi Gham Bhool Ke Yeh Gham
Apne Sabhi Gham Bhool Ke Yeh Gham
Dil Se Lagaye Rakhna Hai

Tum Ho Dua-e-Fatima Zehra
Wada Karo Sab Ahl-e-Aza
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Laashe Girein Ya Ghar Jal Jaye
Zikr-e-Aza Par Aanch Na Aaye
Sirf Shab-e-Ashoor Bujha Tha
Ab Yeh Diya Bujhne Nahi Paye
Chahe Tumhari Jaan Bhi Jaye
Chahe Tumhari Jaan Bhi Jaye
Diya Jalaye Rakhna Hai

Tum Ho Dua-e-Fatima Zehra
Wada Karo Sab Ahl-e-Aza
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Haihat Minaz-Zillah (×3)

Suno Ab Waqt Aisa Aa Gaya Hai
Hamein Ab Jaagna Hoga Khudara
Sitam Ki Aandhiyan Jo Chal Rahi Hain
Hadaf Inka Hamari Majlisein Hain
Shaheedan-e-Aza Jo Ja Chuke Hain
Unhein Maula Ne Shayad Chun Liya Tha
Qasam Tumko Shaheedon Ke Lahoo Ki
Tum Unki Koshishein Zaya Na Karna
Wafa Karna Hussain Ibn-e-Ali Se
Tum Apni Jaan Ki Parwah Na Karna

Haihat Minaz-Zillah (×2)

Kehta Yahi Hai Khoon-e-Shaheedan
Ab Yeh Juloos-e-Gham Na Rukega
Yeh Jo Diya Hai Shah Ki Aza Ka
Jalta Raha Hai Jalta Rahega
Apni Hatheli Par Sar Apna
Apni Hatheli Par Sar Apna
Tumko Uthaye Rakhna Hai

Tum Ho Dua-e-Fatima Zehra
Wada Karo Sab Ahl-e-Aza
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Raunaq-e-Bazm-e-Karbobala Hai
Jhoola Alam Taboot Sabeelein
Mannati Bediyan Aur Kalawe
Kaale Libas Aur Pur-Nam Aankhein
Yeh Hai Amanat Bint-e-Ali Ki
Yeh Hai Amanat Bint-e-Ali Ki
Inko Basaye Rakhna Hai

Tum Ho Dua-e-Fatima Zehra
Wada Karo Sab Ahl-e-Aza
Diya Jalaye Rakhna Hai, Alam Uthaye Rakhna Hai (×2)

Ashoor Ke Suraj Ki Pehli Kiran
Farzand-e-Rasool Ke Pur-Azm Chehre Ka Bosa Liya
Aur Aakhri Kirnein Jale Hue Khayam-e-Hussaini Ka
Pursa Dene Ke Liye Kainat Mein Phail Gayi
To Baad-e-Hussain Zainab Hussain Bani
Aur Qafila-Salar Sayyed-e-Sajjad
Usi Zakhmi Beemar Qaidi Ki Sadaein
Aaj Bhi Sunayi Deti Hain

Mere Hussainiyo
Sada-e-Halmin Ko Yaad Rakho
Apni Wajh-e-Takhleeq Ko Pehchano
Tumhara Khuda Ek, Rasool Ek
Aur Maqsad Bhi Ek Hai
Tum Jahan Jahan Raho
Wahan Wahan Muhammad Wa Aal-e-Muhammad
Ka Zikr-e-Khair Karte Raho

Yeh Taziye, Yeh Alam, Yeh Zuljanah
Yeh Majlisein, Yeh Matam
Yeh Farsh-e-Aza, Yeh Sabeelein
Yahi Woh Hussaini Diye Hain
Jinse Saari Kainat Roshan Hai

Mere Baba Hussain Ke Matamdaro
Aao Inhi Hussaini Diyon Ko Lekar
Qabr-e-Mutahhar Janab-e-Fatimatuz-Zehra Par Chalein
Jahan Aaj Bhi Tanhaiyan Pursa De Rahi Hain

Baad-e-Rasool-e-Khuda
Meri Dadi Zehra Ke Labon Par
Ek Hi To Jumla Tha

Subbat Alayya Masaibun Law Annaha
Subbat Alal Ayyami Sirna Layaliya

Hai Yeh Irfan-o-Mazhar Ki Lafz-e-Dua
Lafz-e-Dua
Qabr-e-Zehra Pe Roshan Karein Yeh Diya
Karein Yeh Diya

Jis Pe Ummat Ne Ki Zulm Ki Inteha
Shab Ki Tareekiyon Mein Janaza Utha
Janaza Utha

Jiska Haq Chheen Kar Ghar Jalaya Gaya
Jiske Bachchon Ko Jhutlaya, Wa Hasrata
Wa Hasrata

Jiski Marqad Pe Hai Aaj Bhi Bekasi
Koi Rauza Nahi Koi Saaya Nahi
Uski Marqad Pe Ja Kar Jalayein Diya
Jalayein Diya

Tum Bhi Noha Karo, Hum Bhi Noha Karein
Haaye Mazlooma Mazlooma Ya Sayyeda (×4)

Ya Hussain (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.