Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Do Jahan Mein Saamne Jab Koi Mushkil Aayegi

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam AliMuharram
Do Jahan Mein Saamne Jab Koi Mushkil Aayegi expresses faith in Imam Ali’s help and the enduring power of devotion to the Ahl al-Bayt. Its verses honour Imam Hussain’s stand at Karbala, mourn infant Ali Asghar, and imagine the grief of Bibi Sakina and the women taken captive after Ashura. Read the Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Do Jahan Mein Saamne Jab Koi Mushkil Aayegi Lyrics

WA

Do Jahan Mein Saamne Jab Koi Mushkil Aayegi
Aap Hi Sun Kar Ali Ka Naam Hal Ho Jayegi

Aye Farishton Kya Karoge Qabr Mein Aa Kar Sawal
Dekh Kar Haider Ko Tum Se Baat Bhi Ho Payegi

Dhaal Lo Jee Bhar Ke Parde Aaj Tum Tareekh Par
Kya Karoge Hashr Mein Kal Baat Jab Khul Jayegi

Jab Bhi Ubhregi Koi Taaqat Yazeedi Shaan Se
Matam-e-Shah-e-Huda Ko Dekh Kar Dab Jayegi

Roz-e-Mehshar Dekhna Ahl-e-Aza Ka Martaba
Rehmat-e-Haq Peshwai Ke Liye Khud Aayegi

Jab Kahin Bhi Hoga Batil Aur Haq Ka Maarika
Saari Duniya Waqiat-e-Karbala Dohraayegi

Karbala Mein De Diya Shabbir Ne Aisa Jawab
Naam Baiat Ka Na Ab Duniya Zaban Par Laayegi

Aye Ali Asghar Tasalli Kuch To Dete Jaiye
Jis Se Maa Apne Dil-e-Betaab Ko Behlaayegi

Soongi Main Kis Ke Seene Par Sakina Ne Kaha
Haye Phuphi Amma Andhere Band Mein Jab Raat Aayegi

Jaiye Khaime Mein Asghar Ko Na Le Kar Aye Hussain
Dekh Kar Maa Khoon Bhari Soorat Ko Ghash Ho Jayegi

Tha Gumaan Kis Ko Ke Aisa Daur Bhi Ek Aayega
Nange Sar Aal-e-Nabi Dar Dar Phiraayi Jayegi

Aye Mujahid Fikr Kya Turbat Se Le Kar Hashr Tak
Kaam Maula Ki Mere Mushkil Kushai Aayegi

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Ali Asghar, Bibi Sakina, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Devotion to Imam Ali, Faith and steadfastness, Sacrifice and captivity after Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.