Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali

Irfan Haider

2016Urdu and Arabic
2016Urdu and ArabicImam HussainMuharram
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali is a 2016 noha recited by Irfan Haider from Karbala Mojizah Hai, Vol. 25. Its refrain means 'This is through the generosity of Hussain son of Ali.' The verses express gratitude for being raised in a family of mourners, receiving the opportunity to visit holy shrines and passing Azadari to the next generation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu and Arabic
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Lyrics

Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali

Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain (×4) Ya Hussain
Ya Ibn-az-Zahra Ya Hussain, Hussain Hussain Hussain Hussain (×4)

Yeh Meri Izzat-o-Tauqeer Tera Sadqa Hai (×2)
Yeh Mere Ashkon Ki Jageer Tera Sadqa Hai (×2)
Mujh Ko Jo Kuch Bhi Mila Maula Tere Dar Se Mila
Meri Dharkan Se Hama-Waqt Sada Aati Hai
Ya Hussain (×2)
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×4)

Sayyida Fatima Zahra Ka Hua Mujh Pe Karam
Mil Gaya Farsh-e-Aza Aur Alam
Aur Kya Mangoon Bhala (×2)
Tujh Se Mujhe Kya Na Mila
Aankh Kholi To Mujhe Ghar Mein Azakhana Mila
Jab Alam Dekha To Yeh Baat Kahi
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Mujh Ko Maa Baap Se Virse Mein Mila Farsh-e-Aza
Yeh Muqaddar Na Farishton Ko Mila
Tarbiyat Aisi Mili (×2)
Khud Hi Sajata Hoon Alam
Bhool Jata Hoon Zamane Ke Sabhi Ranj-o-Alam
Likhne Wale Ne Yeh Taqdeer Likhi
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Aag Par Chalna Yeh Zanjeer-Zani Aur Qama
Zindagi Jeete Hain Bas Ahl-e-Aza
Khoon Tehleel Hua (×2)
Par Na Mujhe Aayi Qaza
Ek Zanjeer Se Das Logon Ne Matam Bhi Kiya
Khoon Behne Se Meri Maut Tali
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Haath Seene Pe Agar Maaroon To Ruk Jata Hai Dil
Saans Lene Se Bhi Katrata Hai Dil
Umr Bhar Karta Raha (×2)
Matam-e-Shabbir Bapa
Na Ruki Saans Na Is Dil Ne Dharakna Chhora
Dil Ki Dharkan Se Sada Aane Lagi
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Aa Gaya Mera Bulawa Jo Soo-e-Karbobala
Main Bina Zad-e-Safar Ghar Se Chala
Aankh Mein Ashk-e-Aza (×2)
Lab Pe Buka Seena-Zani
Jab Chala Ghar Se Mere Saath Tha Saman Yehi
Karbala Dekhi To Main Bola Yehi
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Karbala Ho Ya Madina Ho Ke Mashhad Ya Najaf
Har Ziyarat Ka Mila Mujh Ko Sharaf
Saari Duniya Mein Gaya (×2)
Aur Yehi Noha Parha
Main To Shabbir Ka Zakir Hoon Meri Baat Hi Kya
Mujh Ko Is Dar Se Hi Tauqeer Mili
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Mere Hamrah Woh Karta Hai Aqeedat Ka Safar
Mere Jaisa Hai Mera Lakht-e-Jigar
Kaam Kuch Aur Nahi (×2)
Majlis-o-Matam Ke Siwa
Shukr Sad Shukr Ke Aulaad Ko Virsa Yeh Mila
Noha Parhta Hai Mera Nad-e-Ali
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Hurr Ke Laashe Pe Jyun Hi Pahunche Shahenshah-e-Huda
Aankh Mein Ashk The Aur Lab Pe Buka
Hurr Ki Peshani Ko (×2)
Rumaal Jo Zahra Ka Mila
Apni Taqdeer Pe Nazan Woh Dil-Afgar Hua
Hurr Ke Laashe Se Sada Aane Lagi
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Roz Ek Noha Naya Likhta Hai Mazhar Ka Qalam
Mujh Pe Maula Ka Hai Yeh Khaas Karam
Aur Saintees Baras (×2)
Ho Gaye Irfan-e-Aza
Zikr-e-Shabbir Se Ek Pal Bhi Tu Ghafil Na Raha
Hum Ne Mimbar Pe Yehi Baat Kahi
Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali (×6)

Haaza Min Karame Hussain Ibne Ali

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu and Arabic
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.