Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Har Durood Aur Har Salaam

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Har Durood Aur Har Salaam offers salutations to Imam Hussain, Bibi Fatima Zahra, Sayyida Zainab and Bibi Sakina. Its verses remember the thirst of Karbala, the martyrs and the hardships faced by the Prophet’s family.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Occasion
Muharram, Ashura, Safar
Original
Urdu

Lyrics

Har Durood Aur Har Salaam Lyrics

WA

Har Durood Aur Har Salaam, Tashna Lab Hussain Tere Naam
Kya Mitaayenge Tujhe Adoo, Pukaarta Hai Aaj Tak Lahoo
Kal Bhi Fikr-e-Ghair Thi Ghalat, Aaj Bhi Hai Yeh Khayaal Khaam

Zikr-e-Ghair Aur Gham Ke Din, Hain Yeh Aal Par Sitam Ke Din
Waqf Hai Hussain Ke Liye, Ashra-e-Muharram-ul-Haraam

Jaan-e-Fatima Tera Lahoo, Rab-e-Do-Jahaan Ki Aabroo
Kaainaat Jagmaga Uthi, Bujh Gaye Charaagh Jab Tamaam

Aab Ki Talab Khata Na Thi, Maut Tifl Par Rawaana Thi
Hurmala Ke Teer Yeh Bata, Kaun Sa Liya Hai Inteqaam

Lamha-e-Shahaadat-e-Hussain, Aakhri Ibaadat-e-Hussain
Fakhr-e-Bandagi-e-Ambiya, Zer-e-Taigh Sajda-e-Imaam

Madar-e-Hussain
Zauja-e-Ali-e-Sar-Buland, Fatima Azeem Arjumand
Jiske Aastaane Paak Ke, Qudsiyan-e-Arsh Hain Ghulaam

Haan Woh Fatima Woh Fatima, Aarzoo-e-Qalb-e-Mustafa
Jiske Laadle Hasan Hussain, Jiski Betiyaan Falak Maqaam

Haan Woh Fatima Woh Fatima, Jiski Azmatein Haq Aashna
Hai Shikast-e-Jabr Ki Daleel, Inqilaab-e-Waqt Ka Payaam

Kat Raha Tha Farq-e-Shah-e-Deen, Chal Raha Tha Khanjar-e-Laeen
Bibi Aap Dekhti Raheen, Lut Gaye Haram Jale Khayaam

Khwahar-e-Hussain
Saani-e-Janab-e-Syeda, Allah Allah Tera Hausla
Khoob Ki Hifaazat-e-Haram, Baad-e-Qatl-e-Sayyid-e-Anaam

Bibi Gham Uthaaye Hain Bahut, Dil Pe Daagh Khaaye Hain Bahut
Tujh Pe Aye Hussain Ki Behan, Ho Gayeen Museebatein Tamaam

Karbala Mein Apne Dilruba, Kar Diye Hussain Par Fida
Aun Aur Muhammad-e-Jari, Ho Gaye Shaheed Tashna Kaam

Daulat-e-Batool Lut Gayi, Dukhtar-e-Rasool Lut Gayi
Chhin Gayeen Saron Se Chaadarein, Jal Gaye Hussain Ke Khayaam

Mayyatein Padi Hain Be-Kafan, Kya Kare Hussain Ki Behan
Be-Kasi Aur Aisi Be-Kasi, Shaam Aur Karbala Ki Shaam

Inqilaab-e-Waqt Dekhiye, Imtehaan-e-Sakht Dekhiye
Sar Khule Rasool-Zadiyaan, Aur Ahl-e-Shar Ka Ijdehaam

Dukhtar-e-Hussain
Shimr Kibriya Ka Waasta, Tujh Ko Mustafa Ka Waasta
Bint-e-Shah Ke Gohar Na Chheen, Mubtila-e-Gham Hai Tashna Kaam

Shimr Ke Tamaache Khaaye Hain, Bibi Kitne Gham Uthaaye Hain
Baap Ki Judaai Kam Na Thi, Us Pe Qaid Ke Sitam Mudaam

Bibi Aap Par Sitam Hue, Mar Gayeen Pidar Ka Gham Liye
Haye Jeete Jee Na Chhut Saka, Qaid-Khaana-e-Ameer-e-Shaam

Razmi Hazeen-o-Dil-Figaar, Zindagi Ka Kya Hai Aitibaar
Hashr Tak Na Chhorna Kabhi, Daaman-e-Hussain-e-Tashna-Kaam

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Imam Ali, Imam Hasan, Ali Asghar
Occasion
Muharram, Ashura, Safar
Themes
Salutations to the Ahlulbayt, The sacrifice of Karbala, Grief and steadfastness
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.