Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Hussain Tum Pe Jo Imaan La Nahi Sakta

Ali Rizvi Sachey

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Hussain Tum Pe Jo Imaan La Nahi Sakta praises devotion to Imam Hussain and Imam Ali, recalling the suffering of Karbala, the thirsty children and the endurance of mourning.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Hussain Tum Pe Jo Imaan La Nahi Sakta Lyrics

WA

Hussain Tum Pe Jo Imaan La Nahi Sakta
Qasam Khuda Ki Woh Jannat Mein Ja Nahi Sakta

Jo Sheh Ke Naam Pe Paani Pila Nahi Sakta
Qareeb-e-Sahil-e-Kausar Woh Aa Nahi Sakta

Agar Hussain Ki Marzi Na Ho To Sajde Se
Khuda Gawah Nabi Sar Utha Nahi Sakta

Hazaar Le Ke Alam Jaye Koi Maidan Mein
Magar Ali Ki Jo Manzil Hai Paa Nahi Sakta

Bare Bare Hain Bahadur Nabi Ke Lashkar Mein
Zara Koi Dar-e-Khaibar Hila Nahi Sakta

Samajh Rahe The Payambar Bhi Jang Ki Soorat
Siwa Ali Ke Koi Fath Paa Nahi Sakta

Zaban Pe Nad-e-Ali Aa Gaya Muhammad Ke
Ke Aur Koi To Bigri Bana Nahi Sakta

Hussain Aap Ka Mil Jaye Aastan Jis Ko
Jabeen Woh Ghair Ke Dar Par Jhuka Nahi Sakta

Ibn-e-Saad Pe Ilzam-e-Qatl-e-Sheh Rakh Kar
Koi Yazid Ka Daman Bacha Nahi Sakta

Rahega Roz-e-Abad Tak Yeh Majlis-o-Matam
Gham-e-Hussain Zamana Mita Nahi Sakta

Khuda Gawah Tumhari Tarah Hussain Koi
Rah-e-Khuda Mein Bhara Ghar Luta Nahi Sakta

Mujhe Bhi Le Chalo Asghar Ke Yeh Ishare The
Main Jang Ke Liye Maqtal Mein Ja Nahi Sakta

Pidar Ke Qabze Mein Ho Jis Ke Chashma-e-Kausar
Woh Pyaasi Beti Ko Paani Pila Nahi Sakta

Hussain Hi Ki Yeh Himmat Thi Warna Aur Koi
Jawan Bete Ka Laasha Utha Nahi Sakta

Barehna Sar Hai Behan Samne Dam-e-Aakhir
Rida Bhi Us Ko Baradar Urha Nahi Sakta

Mujahid Apna To Imaan Hai Gham-e-Sarwar
Koi Hamare Qadam Dagmaga Nahi Sakta

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali, Ali Akbar, Ali Asghar, Bibi Sakina, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Faith and devotion, Imam Hussain’s sacrifice, Remembrance of Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.