Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haram Ko Le Ke Suye Shaam Jab Badhi Zainab

Ali Rizvi Sachey

Urdu
UrduSayyida ZainabMuharram
Haram Ko Le Ke Suye Shaam Jab Badhi Zainab honours Sayyida Zainab’s steadfastness as she led the survivors of Karbala towards Syria, faced captivity and defended the dignity of Imam Hussain’s family.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura, Safar
Original
Urdu

Lyrics

Haram Ko Le Ke Suye Shaam Jab Badhi Zainab Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haram Ko Le Ke Suye Shaam Jab Badhi Zainab

Haram Ko Le Ke Suye Shaam Jab Badhi Zainab

Ali Rizvi Sachey · Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

YouTube loads when you open Listen.

Haram Ko Le Ke Suye Shaam Jab Badhi Zainab

Ali Rizvi Sachey · Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haram Ko Le Ke Suye Shaam Jab Badhi Zainab
Kabhi Hussain Bani Aur Kabhi Ali Zainab

Woh Be-Khabar The Ke Tareekh Ho Rahi Hai Raqam
Jo Keh Rahe The Ise Teri Be-Basi Zainab

Khuda Ka Deen Hai Zinda Hussain Ke Dam Se
Hussainiyat Ko Mili Tujh Se Zindagi Zainab

Yazidiyon Ne Bahut Koshishein To Ki Lekin
Kisi Se Kam Na Hui Teri Bartari Zainab

Use Girana Tha Khutbon Se Shaam Ka Khaibar
Ali Ke Lehje Mein Kyunkar Na Bolti Zainab

Ali Ko Jo Shab-e-Hijrat Khuda Ne Bechi Thi
Ali Se Tu Ne Woh Marzi Khareed Li Zainab

Hue Na Khatm Pas-e-Karbala Bhi Zulm-o-Sitam
Gayi Hai Shaam Talak Teri Tishnagi Zainab

The Ek Rasan Mein Jo Barah Gale Rasan-Basta
Rasan Khuli To Sakina Nahi Rahi Zainab

Yaheen Nahin Ke Rasan-Basta Haath Hain Tere
Ghazab Hua Ke Rida Sar Se Chhin Gayi Zainab

Badan Shikasta Rasan-Basta Majma-e-Aada
Aza Mein Naam-e-Nabi Sun Ke Ro Padi Zainab

Kisi Ne Maanga Kaneezi Mein Jab Sakina Ko
Jigar Pakad Ke Pukaari Ali Ali Zainab

Rihai Paa Ke Watan Ke Liye Rawana Hui
Tadap Ke Kehti Thi Abbas Ghar Chali Zainab

Qalam Ki Aankh Se Behta Hai Khoon Ali Ansar
Woh Dastan-e-Haram Khoon Se Likh Gayi Zainab

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Imam Ali, Bibi Sakina, Hazrat Abbas
Occasion
Muharram, Ashura, Safar
Themes
Sayyida Zainab’s endurance, The journey to Syria, Courage of the captives
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.