Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Izzat E Mann Hussaini

Irfan Haider

2017Urdu and Persian
2017Urdu and PersianImam AliMuharram
Izzat E Mann Hussaini is a multilingual devotional noha recited by Irfan Haider. Its recurring phrases connect devotion to Prophet Muhammad, the wilayah of Imam Ali, Fatima Zahra, Imam Hasan, Imam Hussain and Hazrat Abbas. The verses celebrate Azadari as an inherited spiritual identity and remember the tragedies of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu and Persian

Lyrics

Izzat E Mann Hussaini Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Izzat E Mann Hussaini

Izzat E Mann Hussaini

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Izzat E Mann Hussaini

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Hussain (×4)
Ya Zahra...
Ya Haider...

Shukriya Fatima Zahra
Shukriya Haider-e-Karrar
Aap Ne Mujh Ko Banaya
Apne Bete Ka Azadar (×3)

Man Misli, Main Azadar-e-Hussain
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Yeh Jo Sharaf Mujh Ko Mila
Aur Kise Rab Ne Diya (×2)
Goondha Gaya Mera Khameer
Us Mein Mili Khaak-e-Shifa (×2)
Un Se Mujhe Hai Khalq Kiya
Aab-e-Baqa, Khaak-e-Shifa, Zuhd-o-Sakha, Rab Ki Ata
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Khalq Mujhe Rab Ne Kiya
Sirf Muharram Ke Liye (×2)
Aankh Hai Rone Ke Liye
Haath Hai Matam Ke Liye (×2)
Daulat-e-Man Kya Is Ke Siwa
Farsh-e-Aza, Farsh-e-Wila, Ashk-e-Aza, Karbobala
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Seena Hai Kaaba-e-Aza
Kaabe Ka Maulood Ali (×2)
Rab Ne Jo Meesaq Liya
Dil Mein Tha Maujood Ali (×2)
Aur Karam Mujh Par Yeh Hua
Dil Jo Diya, Us Mein Rakha, Ishq-e-Khuda, Sheh Ki Aza
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Pehle Wahan Wird Kiya
Sallu Alaihi Ya Hussain (×2)
Ab Yeh Wazifa Hai Mera
Sallu Alaihi Ya Hussain (×2)
Kaam Hai Yeh Duniya Mein Mera
Noha Likha, Noha Parha, Noha Suna, Kehta Raha
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Ishq-e-Ali Mujh Ko Mila
Aur Gham-e-Karbobala (×2)
Jab Bhi Uthe Mere Qadam
Pahuncha Sar-e-Farsh-e-Aza (×2)
Qaidi Koi Yaadon Mein Raha
Tauq-e-Jafa, Mein Tha Gala, Kehta Raha, Zain-ul-Iba
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Asr Ka Hangam-e-Sitam
Bhool Na Paunga Kabhi (×2)
Ret Ke Teele Pe Khari
Ek Behen Roti Rahi (×2)
Dekhi Nahi Phir Aisi Jafa
Khushk Gala, Katta Raha, Khoon Baha, Kehta Hua
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Baad-e-Shah-e-Karbobala
Ahl-e-Haram Qaidi Bane (×2)
Shaam Talak Aise Gaye
Ek Rasan Bara Gale (×2)
Bint-e-Ali Thi Mahv-e-Buka
Lehje Mein Tha Sher-e-Khuda, Mahv-e-Buka, Khutba Diya
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Hoti Hai Maula Ki Ata
Likhta Hai Mazhar Ka Qalam (×2)
Mujh Pe Bhi Irfan-e-Aza
Hai Yeh Shah-e-Deen Ka Karam (×2)
Nad-e-Ali Jo Mujh Ko Mila
Shukr-e-Khuda, Khoon Mera, Meri Tarah, Kehne Laga
Risalat-e-Man Nabawi
Wilayat-e-Man Alawi
Qismat-e-Man Fatemi
Sakhawat-e-Man Hasani
Izzat-e-Man Hussaini
Ghairat-e-Man Abbasi

Hussain... Hussain... Ya Zahra...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu and Persian

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.