Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo

Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi

Urdu
UrduAyyam-e-Fatimiyah
Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo, popularly known as Akeli Hai Zehra, is an Urdu lament written by Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi. The verses express the grief and loneliness of Bibi Fatima Zahra (SA), remembering her suffering, Imam Hasan (AS), Imam Hussain (AS), and a plea for Imam Mahdi (AJTF). Read the lyrics in Roman Urdu, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo Lyrics

WA

Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo
Shikasta Hai Pehlu, Akeli Hai Zehra
Rone Pe Pehra, Masaib Ka Sehra
Akeli Hai Zehra

Dar-e-Fatima Ko Jalaya Hai Tum Ne
Kiya Waada Apna Bhulaya Hai Tum Ne
Tamache Na Maaro, Musalmano Jao
Ali Ko Bulao, Akeli Hai Zehra
Rone Pe Pehra, Masaib Ka Sehra
Akeli Hai Zehra
Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo
Shikasta Hai Pehlu, Akeli Hai Zehra

Bayan Kis Se Ja Kar Karoon Dard Apna
Hai Ghairon Ki Duniya, Nahi Koi Apna
Koi Haaye Baba Se Keh Do Yeh Ja Kar
Ke Le Jao Aa Kar, Akeli Hai Zehra
Rone Pe Pehra, Masaib Ka Sehra
Akeli Hai Zehra
Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo
Shikasta Hai Pehlu, Akeli Hai Zehra

Ae Lakht-e-Jigar, Ae Hasan Ibn-e-Haider
Yeh Nana Ke Pehlu Mein Sone Na Dein Gar
Tum Aa Jana Pehlu Mein So Jana Maa Ke
Baqi Mein Yahan Par Akeli Hai Zehra
Rone Pe Pehra, Masaib Ka Sehra
Akeli Hai Zehra
Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo
Shikasta Hai Pehlu, Akeli Hai Zehra

Shah-e-Karbala Ne Kaha Ro Ke Maa Se
Yeh Mazloom Bete Ne Mazloom Maa Se
Akela Hoon Main Bhi, Akeli Hai Zainab
Akele Hain Baba, Akeli Hai Zehra
Rone Pe Pehra, Masaib Ka Sehra
Akeli Hai Zehra
Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo
Shikasta Hai Pehlu, Akeli Hai Zehra

Sar-e-Marg Akhtar Tha Zehra Ka Noha
Kab Aaoge Mehdi, Kab Aaoge Beta
Khuda Ke Liye Ab Yeh Parda Hata Do
Chale Aao Aao, Akeli Hai Zehra
Rone Pe Pehra, Masaib Ka Sehra
Akeli Hai Zehra
Kahan Jaye Aakhir Bayabaan Har Soo
Shikasta Hai Pehlu, Akeli Hai Zehra

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.