Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tujhse Waada Hai Fatima Zahra

Kazmi Brothers

2024Urdu
2024UrduAyyam-e-Fatimiyah
Tujhse Waada Hai Fatima Zahra is an Ayyam-e-Fatimiyah Noha released in 2024 by Kazmi Brothers. Written by Allama Akhtar Abbas Zaidi, it expresses devotion to Bibi Fatima Zahra (SA), remembrance of her suffering, and a pledge to preserve her mourning through generations. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2024
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu
Album
Tujhse Waada Hai Fatima Zahra

Lyrics

Tujhse Waada Hai Fatima Zahra Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tujhse Waada Hai Fatima Zahra

Tujhse Waada Hai Fatima Zahra

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Tujhse Waada Hai Fatima Zahra

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Tujhse Waada Hai Fatima Zahra
Tere Aansu Nahi Bhulayenge

Teri Mazloomiyat Pe Royenge
Tera Farsh-e-Aza Bichhayenge

Tujh Pe Kya Kya Sitam Na Dhaye Hain
Taziyane Bhi Tu Ne Khaye Hain
Zulm Ki Inteha Hai Kalma-Go
Tere Ghar Ko Jalane Aaye Hain
Tere Behte Hue Lahu Ki Qasam
Hum Bhi Apna Lahu Bahayenge

Haaye Baad-e-Nabi Na Jaane Kyun
Itni Be-Reham Ho Gayi Duniya
Teri Duniya Ujaar Kar Bibi
Chain Se Khud To So Gayi Duniya
Tere Mohsin Ko Maarne Wale
Kya Muhammad Ko Munh Dikhayenge

Haq To Yeh Hai Ke Dard-e-Dil Tera
Ahl-e-Gham Bhi Samajh Nahi Paye
Daal Kar Gardan-e-Ali Mein Rasan
Teri Nazron Ke Samne Haaye
Jis Tarah Dil Tera Dukhaya Hai
Hum Kabhi Bhi Na Bhool Payenge

Apne Bachchon Ke Saath Tera Woh
Bhare Darbar Mein Khare Rehna
Apna Haq Maangna Zamane Se
Aur Ummat Ka Zulm Bhi Sehna
Kaun Mujrim Hai Syeda Tera
Hum Yeh Naslon Ko Bhi Batayenge

Pasliyan Tor Di Teri Bibi
Samne Murtaza Ke Maara Hai
Kaun Jaane Ali Ne Kis Dil Se
Tujh Ko Zer-e-Lahad Utara Hai
Teri Turbat Pe Baith Kar Maula
Tere Jaane Ka Gham Manayenge

Jab Yeh Dekha Ke Chal Baseen Zahra
Di Sada Yeh Hussain Ne Ro Kar
Mere Shiyon Ko Bakhshwa Dena
Mujh Se Waada Karo Yeh Ae Madar
Un Ka Zamin Hoon Roz-e-Mahshar Tak
Apne Waade Ko Yeh Nibhayenge

Shukr Hai Syeda Ka Yeh Akhtar
Hum Pe Mahshar Mein Bhi Karam Hoga
Paon Farsh-e-Aza Pe Honge Aur
Sar Pe Abbas Ka Alam Hoga
Jab Talak Syeda Na Chahengi
Apni Jannat Mein Hum Na Jayenge

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu
Album
Tujhse Waada Hai Fatima Zahra

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.