Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Karna Hai Ya Hussain

Kazmi Brothers

2024Urdu
2024UrduMuharram
Karna Hai Ya Hussain is a 2024 Noha recited by Kazmi Brothers, expressing devotion to Imam Hussain (AS), the message of Karbala, and the importance of Azadari across generations. Written by Allama Akhtar Abbas Zaidi, this noha celebrates loyalty, remembrance, and the preservation of Hussaini traditions. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2024
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Karna Hai Ya Hussain

Lyrics

Karna Hai Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Karna Hai Ya Hussain

Karna Hai Ya Hussain

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Karna Hai Ya Hussain

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Woh Naaz-e-Kibriya Hai, Woh Shah-e-Karbala Hai
Zahra Ke Dil Ka Chain Hai, Wohi Mera Hussain Hai

Dil Mein Ishq-e-Haider Ka Ek Diya Jalana Hai
Karna Hai Ya Hussain

Syeda Ke Bachchon Ka Farsh-e-Gham Bichhana Hai
Karna Hai Ya Hussain

Laakh Mushkilein Aayein, Gardanein Bhi Kat Jayein
Fatwe Gar Dilayein, Gar Aasmaan Bhi Layein
Hum Ne Apni Naslon Ko Matami Banana Hai

Yeh Jo Pursadari Hai, Munkiron Pe Bhaari Hai
Ae Yazidiyo Sun Lo, Karbala Hamari Hai
Rab Ke Sab Khazanon Mein Yeh Alag Khazana Hai

Ya Hussain, Ya Hussain
Tera Lahu Raigaan Na Jayega
Behen Ka Wada Hai, Yeh Rang Zaroor Layega
Hai Deen Ki Baqa, Bana-e-La Ilaha, Hussain Badshah

Aansuon Ke Baadal Se Kya Larenge Yeh Jalse
Hai Nigah-e-Khaliq Mein Tai Yeh Roz-e-Awwal Se
Ek Taraf Hussaini Hain, Ek Taraf Zamana Hai

Mujh Gunahgaar Pe Har Dam Hai Yeh Inaam-e-Hussain
Meri Har Gaam Madad Karta Hai Zarghaam-e-Hussain
Choom Leta Hoon Jahan Dekhta Hoon Naam-e-Hussain
Karbala Ishq-e-Man Ast Wa Manam Ghulam-e-Hussain
Jaan Se Pyari Mai-e-Ishq-e-Wila Hai Mujh Ko
Yeh Sila Maa Ki Taharat Se Mila Hai Mujh Ko

Sangaton Ke Lashkar Hain, Kya Ghazab Ke Tewar Hain
Yeh Nishan-e-Matam Hi Matami Ka Zewar Hain
Matami Julooson Ki Shaan Fatehana Hai

Gham Hai Yeh Bahattar Ka, Syeda Ki Chadar Ka
Karbala Mein Naize Ki Nok Par Kisi Sar Ka
Syedon Ko Is Gham Ne Hashr Tak Rulana Hai

Hashr Ki Faza Hogi, Masnad-e-Qaza Hogi
Kaun Jannati Hoga, Kis Ko Kya Saza Hogi
Syeda Se Akhtar Yeh Faisla Sunana Hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Karna Hai Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.