Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Karbala Jari Hai

Kazmi Brothers

Urdu
Urdu
Karbala Jari Hai is an Urdu noha by Ahmed Navaid reflecting on the continuing legacy of Karbala through azadari, matam, the remembrance of Imam Zainul Abidin, Ali Akbar and the martyrs of Ashura. Its recurring refrain presents Karbala as a living message carried through every generation of mourning.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Original
Urdu

Lyrics

Karbala Jari Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Karbala Jari Hai

Karbala Jari Hai

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Karbala Jari Hai

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shah ka pursa hai
Lahu rang-e-azadari hai

Karbala jari hai

Wohi matam
Wohi Sajjad ki salari hai

Karbala jari hai

Subh padhte hue noha
Hai nikalta sooraj
Raat aati hai to
Ye aahon mein dhalta sooraj

Hai wohi subh
Wohi shaam ki azadari hai

Karbala jari hai

Le udegi tujhe hamrah
Ye parwaz-e-Hussain
Raat ke pichhle pahar
Sun kabhi awaz-e-Hussain

Yani har ek sada par
Ye sada bhari hai

Karbala jari hai

Khoon-e-na-haq jo bahattar ka
Baha tha ban mein
Shah ke jo halq-e-burida se
Baha tha ran mein

Aaj bhi Sang-e-Halab se
Woh lahu jari hai

Karbala jari hai

Fajr hoti hai to
Yaad aati hai Akbar ki azan
Jab Isha hoti hai
Yaad aata hai khaimon ka dhuan

Bas azadaron pe
Ye Karb-o-Bala tari hai

Karbala jari hai

Hai Khuda bhi wahin maujood
Jahan girya hai
Jahan matam ki sadaein hain
Wahan girya hai

Arsh aur farsh pe
Zainab ki amal-dari hai

Karbala jari hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.