Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Khudara Haye Khudara

Irfan Haider

2012Urdu
2012UrduImam HussainMuharram
Khudara Haye Khudara is an emotional noha recited by Irfan Haider, portraying Bibi Fatima Sughra's longing for her father Imam Hussain (AS) and her family during their absence from Madina. Through the passing of religious celebrations and lonely nights, it expresses her sorrow, illness and desperate appeal for her loved ones to return.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Lyrics

Khudara Haye Khudara Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Khudara Haye Khudara

Khudara Haye Khudara

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Khudara Haye Khudara

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye
Haaye Sughra (×2)

Yeh Khat Mein Baba Ko Sughra Ne Likha Haal-e-Tapa
Tumhare Baad Hue Teen Eidi Baba Jaan
Shab-e-Barat Hui Doosre Maheene Aaya
Baroo-e-Hamza Na Thi Mujh Mein Fatiha Ki Tawa
Are Tamam Roz Tadapte Tadapte Raat Hui
Hamare Ghar Mein Na Eid-e-Shab-e-Barat Hui
Hamare Ghar Mein Na Eid-e-Shab-e-Barat Hui

Woh Roz To Gaya Din Eid-e-Fitr Ka Aaya
Ghar Aa Kar Meri Humjoliyon Ne Rulwaya
Kisi Ne Gehna Kisi Ne Libas Dikhlaya
Koi Yeh Boli Ke Eidi Mein Humne Yeh Paya
Har Ek Khush Tha Magar Mere Lab Pe Naale The
Safar Mein Sab Meri Eidi Ke Dene Wale The
Safar Mein Sab Meri Eidi Ke Dene Wale The

Woh Khush Ho Eid Mein Kya Jo Kalap Ka Maara Ho
Are Qasam Lo Baba Jo Kurta Phata Utara Ho
Watan Mein Laut Ke Aana Jo Phir Tumhara Ho
To Phir Se Eid Ho Nauroz Bhi Dobara Ho
Are Hamari Eid To Kunbe Ke Deed Hai Baba
Jab Aap Aaye Usi Roz Eid Hai Baba

Baba...
Khudara Haaye Khudara (×2)
Laut Bhi Aao Ae Mere Baba
Toot Na Jaye Saanson Se Rishta
Khudara Haaye Khudara (×2)

Hujron Mein Sar-e-Shaam Diye Kaun Jalaye
Bas Main Hoon Ya Tanhai Hai Ya Dard Ke Saaye
Are Raat Andheron Mein Basar Karti Hoon Baba
Khudara Haaye Khudara (×2)
Laut Bhi Aao Ae Mere Baba
Toot Na Jaye Saanson Se Rishta
Khudara Haaye Khudara (×2)

Yeh Haal Kiya Aap Ki Furqat Ne Ae Baba
Quran Bhi Padhti Hoon To Ban Jata Hai Noha
Are Hota Nahi Aap Ke Bin Mera Guzara
Khudara Haaye Khudara (×2)
Laut Bhi Aao Ae Mere Baba
Toot Na Jaye Saanson Se Rishta
Khudara Haaye Khudara (×2)

Qasim Kabhi Yaad Aaye Kabhi Akbar-e-Zeeshan
Yaad Aaye Sakina To Kabhi Asghar-e-Nadan
Are Kaun Hai Tanhai Mein Jo Dega Dilasa
Khudara Haaye Khudara (×2)
Laut Bhi Aao Ae Mere Baba
Toot Na Jaye Saanson Se Rishta
Khudara Haaye Khudara (×2)

Tum Aao To Hamraah Chale Aayenge Akbar
Armaan Nikalungi Unhein Dulha Bana Kar
Are Baba Nahi Ab Meri Saanson Ka Bharosa
Khudara Haaye Khudara (×2)
Laut Bhi Aao Ae Mere Baba
Toot Na Jaye Saanson Se Rishta
Khudara Haaye Khudara (×2)

Sunti Hoon Ke Qasim Ki Wahan Shadi Rachayi
Kya Fatima Sughra Ki Tumhein Yaad Na Aayi
Are Wada Raha Neg Nahi Mangungi Apna
Khudara Haaye Khudara (×2)
Laut Bhi Aao Ae Mere Baba
Toot Na Jaye Saanson Se Rishta
Khudara Haaye Khudara (×2)

Woh Dard Jo Beemar Ne Baba Ko Likhe The
Rehan Ya Irfan Bayan Kaise Karenge
Are Kijiye Imdad Anees-e-Shah-e-Wala
Khudara Haaye Khudara (×2)
Laut Bhi Aao Ae Mere Baba
Toot Na Jaye Saanson Se Rishta
Khudara Haaye Khudara (×6)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.