Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mai Zainab Hoon

Irfan Haider

2017Urdu
2017UrduImam AliMuharram
Mai Zainab Hoon is an Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Mazhar Abidi. In the voice of Bibi Zainab, it condemns the removal of the Ahlulbayt's veils and the humiliations endured in the streets and court of Shaam. Its recurring plea asks the people to remember her identity as the daughter of Imam Ali and the granddaughter of Prophet Muhammad.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Mai Zainab Hoon Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mai Zainab Hoon

Mai Zainab Hoon

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Mai Zainab Hoon

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shaam, Haaye Shaam (×3)
Haaye Haaye Shaam (×6)
Haaye Shaam (×2), Haaye Haaye Shaam
Haaye Shaam (×2), Haaye Haaye Shaam

Mere Nana Ka Kalma Parhte Ho
Insaaf Karo Ae Shaam Walo (×2)
Meri Maa Zahra, Baba Hain Ali
Wawaila, Haaye Wawaila
Ae Logo Mera Nana Hai Nabi
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Main Yasrab Ki Shehzadi Hoon
Hai Bhai Mere Sardar-e-Jinan
Main Sharm-o-Haya Ki Makhdooma
Hai Is Ki Gawahi Kaun-o-Makan
Hai Mere Labon Par Gham Ki Azaan
Wawaila Haaye Wawaila
Chadar Jo Chheeni Mar Jaungi
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Bhai Pe Mere Kyun Baghi Ke
Ilzaam Lagaye Hain Tum Ne
Sadat Ki Aamad Se Pehle
Bazaar Sajaye Hain Tum Ne
Gham Mere Barhaye Hain Tum Ne
Wawaila Haaye Wawaila
Dil Thaam Ke Main Yeh Kehti Rahi
Main Zainab Hoon Kuch Sharm Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Is Tarah Muhammad Ke Dil Ko
Tum Logon Ne Pamaal Kiya
Sadqe Ki Khajooron Se Tum Ne
Sadat Ka Istaqbal Kiya
Sadmon Ne Mera Yeh Haal Kiya
Wawaila Haaye Wawaila
Tasbeeh Meri Yeh Baat Bani
Main Zainab Hoon Kuch Sharm Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Galiyon Mein Charaghan Hota Hai
Aur Aal-e-Payambar Roti Hai
Naize Pe Baradar Rota Hai
Aur Aal-e-Payambar Roti Hai
Is Baat Pe Khwahar Roti Hai
Wawaila Haaye Wawaila
Tum Hanste Rahe Main Roti Rahi
Main Zainab Hoon Kuch Sharm Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Baalon Ki Safedi Par Meri
Meelon Ki Musafat Roti Hai
Na-Pak Nigahein Uthti Hain
Sajjad Ki Ghairat Roti Hai
Is Baat Pe Qismat Roti Hai
Wawaila Haaye Wawaila
Be-Jurm-o-Khata Kyun Qaidi Bani
Main Zainab Hoon Kuch Sharm Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Be-Parda Mujhe Dekha Hi Nahi
Suraj Ne Kabhi Baba Ki Qasam
Mahmil Ke Bina Nikli Na Kabhi
Hai Yaad Mujhe Woh Jah-o-Hasham
Karti Hoon Buka Har Ek Qadam
Wawaila Haaye Wawaila
Mahmil Ke Bina Main Shaam Chali
Main Zainab Hoon Kuch Sharm Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Tareekh-e-Sitam Dohrai Gayi
Mujhe Jeete Ji Jo Maar Gayi
Amma Ki Tarah Se Zainab Bhi
Peshi Ke Liye Darbar Gayi
Aur Sar Se Mere Dastar Gayi
Wawaila Haaye Wawaila
Darbar Talak Yeh Kehti Gayi
Main Zainab Hoon Kuch Sharm Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Hai Kund Zabanein Aur Qalam
Ashkon Ko Zaban Kar Sakte Nahi
Irfan Aur Mazhar Chahein Bhi
Zakhmon Ko Ayan Kar Sakte Nahi
Roodad Bayan Kar Sakte Nahi
Wawaila Haaye Wawaila
Kyun Kehna Para Bibi Ko Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm Karo
Na Chheeno Chadar Meri
Main Zainab Hoon Kuch Sharm To Karo (×2)
Na Chheeno Chadar Meri

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.