Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Matam E Akbar

Irfan Haider

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Matam E Akbar is an Urdu noha recited by Irfan Haider, lamenting the martyrdom of Hazrat Ali Akbar at Karbala. Its verses describe the grief of Bibi Zainab, Bibi Laila, Imam Hussain and the Ahlulbayt as Ali Akbar's body is brought back to the tents. The refrain remembers the cries of mourning that filled the encampment.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Matam E Akbar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Matam E Akbar

Matam E Akbar

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Matam E Akbar

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Haaye Ali Akbar (×4)
Hussain... Hussain

Laasha-e-Akbar Jo Laaye Khaimon Mein
Phuphi Ne Seena-o-Sar Peet Kar Kiya Nauha
Kohram Mach Gaya
Ya Hussain (×6)
Haan...
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Zainab Yeh Bain Karti Thi Akbar Ki Laashe Par (×2)
Afsos Tere... Haaye
Afsos Tere Laashe Par Sehra Sajaya Hai
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Aankhein To Kholo Ae Mere Kariyal Jawan Pisar (×2)
Main Jeete Ji... Haaye
Main Jeete Ji Mar Jaungi Laila Ka Nauha Hai
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Andher Ho Gayi Hai Yeh Duniya Tumhare Baad (×2)
Laashe Pe Nauha... Haaye
Laashe Pe Nauha-Khwan Yun Zahra Ka Beta Hai
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Ghar Ka Sukoon Aankhon Ki Binayi Le Gaye (×2)
Ab Mera Kaam... Haaye
Ab Mera Kaam Bas Tere Laashe Pe Rona Hai
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Ae Laal Uth Bhi Jao Ab Behno Ke Waaste (×2)
Sughra Nahi To... Haaye
Sughra Nahi To Kya Hua Baali Sakina Hai
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Yeh Keh Ke Sheh Ne Maanga Hai Malboos Purana (×2)
Akbar Ke Baad... Haaye
Akbar Ke Baad Waise Bhi Bekaar Jeena Hai
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Akbar Tumhare Jaane Se Tanha Hue Hussain (×2)
Fizza Yeh Bain... Haaye
Fizza Yeh Bain Karti Hai Sajjad Rota Hai
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Irfan Ahl-e-Bait Pe Kya Kya Guzar Gayi (×2)
Mazhar Ne Ek... Haaye
Mazhar Ne Ek Misre Mein Ahwal Likha Hai
Khaimon Mein Shor Matam-e-Akbar Ka Hota Hai (×3)

Ya Hussain (×8)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.