Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mohammad Ka Nawasa

Irfan Haider

2016Urdu
2016UrduImam HussainMuharram
Mohammad Ka Nawasa is a 2016 Urdu noha recited by Irfan Haider. It portrays Bibi Fatima Sughra in Medina as the moon of Muharram appears. Remembering Imam Hussain, Ali Akbar, Ali Asghar and the departed family, she tells the people of Medina that the Prophet's grandson has travelled far from home into a land of suffering.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Lyrics

Mohammad Ka Nawasa Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mohammad Ka Nawasa

Mohammad Ka Nawasa

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Mohammad Ka Nawasa

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sughra, Haaye Sughra (×3)

Falak Par Chand Nazar Aaya Muharram Ka
Be-Sakhta Aankhon Ne Meri Khoon Bahaya
Logon Ne Mujhe Rote Hue Dekh Ke Poochha
Shehzadi Zara Yeh To Bata Gham Hai Yeh Kaisa
Kyun Farsh-e-Aza Aap Ne Ghar Mein Hai Bichhaya

Sughra...

Sughra Ne Kaha Ahl-e-Madina
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Nana Ke Madine Mein Udasi Ka Hai Matam
Hamshakl-e-Nabi Hai Na Shahenshah-e-Do-Aalam
Wahshat Si Barasti Hai Dar-o-Baam Se Har Dam (×2)
Baba...
Jis Din Se Gaye Hain Mere Baba
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Jis Din Se Gaye Hain Mere Baba Mere Ghar Se
Ek Lamha Nahi Aisa Ke Aansoo Nahi Barse
Dil Mera Sakina Ko Mulaqat Ko Tarse (×2)
Duniya...
Is Gham Ko Samajhti Nahi Duniya
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Is Gham Ko Samajhti Nahi Duniya Mere Nana
Sughra Pe Qayamat Hai Padar Ka Chale Jana
Dil Kehta Hai Is Ghar Ko Museebat Se Bachana (×2)
Allah...
Tu Dekh Raha Hai Mere Allah
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Tu Dekh Raha Hai Mere Allah Udasi
Ahmad Ka Nawasa Hai Na Ahmad Ki Nawasi
Ummat Ki Nigahon Mein Nahi Sharm Zara Si (×2)
Kaaba...
Is Gham Mein Siyah-Posh Hai Kaaba
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Is Gham Mein Siyah-Posh Hai Kaaba Bhi Haram Bhi
Kulsoom Bhi Zainab Bhi Shahenshah-e-Umam Bhi
Akbar Bhi Chacha Jaan Bhi Aur Un Ka Alam Bhi (×2)
Sughra...
Yeh Dard Bataye Kise Sughra
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Yeh Dard Bataye Kise Sughra Ke Hua Kya
Ghar Qabr Sa Lagta Hai Na Akbar Hai Na Baba
Is Qabr Mein Hai Fatima Sughra Ka Janaza (×2)
Sadma...
Sughra Ko Rulata Hai Yeh Sadma
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Sughra Ko Rulata Hai Yeh Sadma Ali Akbar
Ghar Walon Ki Furqat Mein Guzar Jayegi Khwahar
Dekhoon Koi Gehwara To Yaad Aate Hain Asghar (×2)
Ab To...
Daaman Mein Mere Reh Gaya Ab Kya
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Daaman Mein Mere Reh Gaya Ab Kya Mere Nana
Mazhar Yehi Faryad Kiya Karti Thi Sughra
Tum Chaho Jo Beemar Ke Zakhmon Ka Madawa (×2)
Noha...
Irfan Suna Do Yehi Noha
Ghar Zahra Ka Veeran Hua Hai
Ae Logo Mohammad Ka Nawasa Pardes Mein Mehman Hua Hai (×2)

Hasan Hussain Imam Hussain Haaye Hussaina
Haaye Hussaina, Haaye Hussaina
Hasan Hussain Imam Hussain Haaye Hussaina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.