Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Moula Haq Imam

Irfan Haider

2014Urdu
2014UrduImam HasanMuharram
Moula Haq Imam is a noha recited by Irfan Haider, mourning the suffering of the Ahlulbayt after the martyrdom of Imam Hussain (AS). With the refrain Maula Haq Imam Ya Hasan Ya Hussain, it remembers the burning tents of Karbala, the loss of Hazrat Abbas (AS), the martyrdom of Ali Asghar (AS), the grief of Bibi Zainab (SA) and the captivity of Imam Zainul Abidin (AS). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Majura Ya Zahra Majura Ya Haideri 2014 - 15

Lyrics

Moula Haq Imam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Moula Haq Imam

Moula Haq Imam

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Moula Haq Imam

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain, Ya Hussain (×4)
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Hussain (×2)

Haaye Haal Likhoon Kya Sadaat Ke Lutne Ka
Main Khud Ek Sayyedzada Hoon
Mujhe Khoon Rulate Hain Aksar
Kabhi Maqtal, Kabhi Koofa, Kabhi Shaam

Maula Haq Imam (×4)
Maula Haq Imam Ya Hasan Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Baad-e-Hussain Ibn-e-Ali
Zainab Pe Kya Aayi Ghadi
Jalti Hui Reti Pe Thi
Be-Aasra Aal-e-Nabi
Shaam-e-Ghareeban Aa Gayi, Har Soo Udasi Chha Gayi
Pehre Pe Zainab Aa Gayi (×2)
Aur Lab Pe Tha Bas Yeh Kalam

Maqdooma-e-Kaunain Ki Poti Sakina Be-Khata
Baba Ka Laasha Dhoondhne Phirti Thi Ban Mein Ja-Baja
Shabbir Ki Woh Ladli, Seene Pe Jo Shah Ke Pali
Uski Yahi Faryad Thi (×2)
Jab Jal Chuke Saare Khayam

Jis Ke Lahu Ka Aaj Bhi Maqrooz Hai Saara Jahan
Halmin Ki Jo Aawaaz Par Maqtal Mein Aaya Be-Zaban
Woh Asghar-e-Be-Sheer Tha Jo Katib-e-Taqdeer Tha
Haaye Hurmala Ka Teer Tha (×2)
Jis Ke Liye Mehwe Kalam

Haaye Haaye Muhammad Ka Chaman Kuch Is Tarah Loota Gaya
Yeh Bekasi Sadaat Ki Ke Bar-Sar-e-Karbobala
Ro Kar Kahe Qasim Ki Maa, Maara Gaya Qasim Jawan
Zinda Rahe Kaise Yeh Maa (×2)
Faryad Ya Shah-e-Anaam

Mashk-o-Alam Lekar Chala Mashk-o-Alam Ka Pasban
Mashk-e-Sakina Jab Chhidi Pani Baha Baad-e-Aza
Abbas Ke Baazu Kate, Dil Kaanp Utha Yeh Soch Ke
Woh Khaak Par Kaise Gire (×2)
Kehte Hue Tum Par Salam

Tere Akhi Mazloom Ka Ghar Se Janaza Jab Chala
Taboot Par Sau Teer The Lekin Shah-e-Karbobala
Teeron Pe Tha Laasha Tera, Maa Sayyeda Mehwe Buka
Kehne Lagi Karbobala (×2)
Zinda Rahe Dono Ka Naam

Gyarah Muharram Aa Gayi Aal-e-Nabi Ka Karwan
Tha Shaam Ki Janib Rawan Aur Qafile Ka Sarban
Woh Abid-e-Beemar Tha, Chalne Se Jo Laachar Tha
Mehwe Buka Ghamkhwar Tha (×2)
Kehta Chala Har Ek Gaam

Kaafi Hai Rone Ke Liye Woh Shaam-o-Koofa Ka Safar
Chadar Talab Karta Raha Sajjad Qaidi Noha-Gar
Phir Qaidiyon Ka Qafila Darbar Mein Laya Gaya
Khutba Jo Zainab Ne Diya (×2)
Lab Par Tha Yeh Noha Madham

Irfan-o-Mazhar Abidi Karte Raho Har Dam Yeh Bain
Bas Zindagi Bhar Ya Hasan, Bas Zindagi Bhar Ya Hussain
Nohe Ka Yun Haq Ho Ada, Jab Bar-Sar-e-Farsh-e-Aza
Noha Padhe Khud Sayyeda (×2)
Ro Kar Kahe Sab Khas-o-Aam

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Hasan, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Majura Ya Zahra Majura Ya Haideri 2014 - 15

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.