Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Na Des Apna Hai

Irfan Haider

2005Urdu
2005UrduSayyida ZainabMuharram
Na Des Apna Hai is an Urdu noha recited by Irfan Haider, reflecting on Zainab's grief at her brother's unshrouded body and the captivity of the Ahlulbayt. Read the Roman Urdu text, Urdu script and English meaning.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Lyrics

Na Des Apna Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Na Des Apna Hai

Na Des Apna Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Na Des Apna Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Karbala se chali ek be-kas behen
Bhai se aalam-e-ghurbat mein watan yaad aaya
Sab shaheedon ko kehti hui alvida
Bhai ki laash pe pahunchi to kafan yaad aaya
Khud ko naaqe se gira kar Zainab kehne lagi ro ro kar

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Yeh dekh zara aye tashna-dahan
Shaanon ko mere jakde hain rasan
Aur us pe sitam hai, sar par nahin chaadar

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Kal saath tere har gaam chali
Ab qaidi bani aur Shaam chali
Is dard ke maare roti hoon khule sar

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Baba hai Ameer-e-Kaun-o-Makaan
Hai tera laqab Sardaar-e-Jinaan
Zainab to hui hai be-chaadar, be-ghar

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Aye bhai, teri ghurbat ki qasam
Ta-marg nahin bhoolungi yeh gham
Pardes mein aa kar, noha hai labon par

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Kya zulm sahe tujhko hai khabar
Hai Aal-e-Muhammad khaak-basar
Ab tum se nahin hai paani bhi mayassar

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Hota jo Madina, bhai mere
Mil jaata kafan, mazloom, tujhe
Is dasht-e-bala mein majboor hai khwahar

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Aye kushta-e-tegh-e-zulm bata
Jab koi mera yaawar na raha
Maqtool-e-jafa hain Abbas aur Akbar

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Kya kya na hui Zainab pe jafa
Sab khaime jale, asbaab luta
Par sab se bada hai yeh gham mere dil par

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

Irfan aur Mazhar keh na sake
Jo Bint-e-Ali ne bain kiye
Phatta hai kaleja is baat ko sun kar

Na des apna hai, na log apne hain (×2)
Main kaise kafan doon mere mazloom baradar

As-salaamu alayka ya Sayyid-ush-Shuhada

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Ali Akbar
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.