Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Nabi Ka Nawasa Pyaara Hussain

Irfan Haider

2015Urdu
2015UrduImam AliMuharram
Nabi Ka Nawasa Pyaara Hussain is a 2015 noha recited by Irfan Haider. It mourns Imam Hussain, the beloved grandson of Prophet Muhammad, remembering his suffering on Ashura, the grief of Imam Ali and Bibi Fatima Zahra, and the sacrifice that preserved the message of Islam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Lyrics

Nabi Ka Nawasa Pyaara Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Nabi Ka Nawasa Pyaara Hussain

Nabi Ka Nawasa Pyaara Hussain

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Nabi Ka Nawasa Pyaara Hussain

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain, Ya Hussain (×2)
Hussain Imam Hussain, Haider (×8)
Hussain Imam Hussain
Haider Haider Haider
Ya Hussain

Ghore Se Jab Zameen Pe Gire Shah-e-Karbala
Shah-e-Karbala
Nikle Madina Chhor Ke Sultan-e-Ambiya
Sultan-e-Ambiya
Haider Chale Najaf Se Baqiayya Se Fatima
Baqiayya Se Fatima
Goonji Ba-Waqt-e-Asr Yeh Jibreel Ki Sada

Har Imtihan Se Guzar Gaya (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Yeh Woh Hussain Hai Eid Pe Jis Ko
Jannat Se Kapre Bheje Khuda
Haaye Ghareebi Dasht-e-Bala Mein
Hoga Abhi Pamaal-e-Jafa
Yahan Kafan Bhi Na Payega (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Haan Yeh Wohi Quran-e-Mubeen Hai
Jis Ko Parha Karte The Rasool
Jis Ke Liye Tabdeel Kiye Hain
Rabb-e-Jali Ne Apne Usool
Khuda Se Hargiz Nahi Juda (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Naaz Uthaye Jis Ke Khuda Ne
Jis Ke Liye Naqa The Nabi
Us Ko Mile Is Karbobala Mein
Daagh-e-Pisar Aur Tishna-Labi
Hazaar Zakhm Utha Gaya (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Zulf-e-Nabi Ho Jis Ka Khilona
Jis Ka Bichhona Arsh-e-Ula
Pusht-e-Faras Se Jab Woh Gira To
Us Ka Badan Teeron Pe Ruka
Zameen Par Bhi Na Aa Saka (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Ho Jis Ki Maa Ke Mehr Mein Kausar
Aur Woh Khud Sardar-e-Jinan
Aath Pehr Se Woh Pyasa Hai
Mahv-e-Buka Hai Khushk Zaban
Ghira Laeenon Mein Be-Khata (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Paala Jise Aanchal Mein Chhupa Kar
Bint-e-Nabi Ne Mere Khuda
Aaj Sawa Naize Pe Suraj
Ja-e-Aman Hai Sirf Qaza
Zameen-e-Maqtal Pe Soyega (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Jis Ka Parhe Quran Qasida
Jis Ke Fazail Mein Hai Azaan
Us Ke Liye Duniya Ne Uthaye
Teer-o-Tabar Talwar-o-Sinaan
Sinaan Pe Quran Sunayega (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Haan Yeh Sada Irfan Aur Mazhar
Sun Ke Buka Karte The Nabi
Sheh Ke Gale Par Chal Gaya Khanjar
Ro Ke Behen Yeh Kehne Lagi
Tamam Waade Nibha Gaya (×2)
Zahra-o-Ali Ke Dil Ka Chain
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Qatl Hua Be-Jurm-o-Khata (×2)
Nabi Ka Nawasa Pyara Hussain (×2)
Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Haaye Kya Zulm Muhammad Ke Nawase Pe Hua
Dasht Mein Goonj Uthi Yeh Zainab-e-Muztar Ki Sada
Halq-e-Shah-e-Deen Kata
Wa Hussaina
Pyason Pe Khanjar Chala
Wa Hussaina
Aray Lut Gayi Aal-e-Iba
Wa Hussaina
Aaiye Sher-e-Khuda
Wa Hussaina, Wa Hussaina
Wa Hussaina, Wa Hussaina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.