Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Pehchano Khudara

Irfan Haider

2005Urdu
2005UrduSayyida ZainabMuharram
Pehchano Khudara is an Urdu noha recited by Irfan Haider, reflecting on Zainab's return from captivity and her grief before Abdullah ibn Jafar. Read the Roman Urdu text, Urdu script and English meaning.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Lyrics

Pehchano Khudara Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Pehchano Khudara

Pehchano Khudara

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Pehchano Khudara

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zindaan ki qaid kaat ke jab Sani-e-Zehra
Pahunchi watan to koi bhi pehchaan na paaya
Are Abdullah ibn-e-Jafar-e-Tayyar ne poochha
Tu kaun hai, kya naam hai tera, aye zaeefa?
Yeh sun ke buka karne lagi Sani-e-Zehra
Zauja hoon aap ki, mujhe pehchaano Khudara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×2)

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Baalon ki safedi ka sabab poochho na mujhse
In aankhon ne dekhe hain sitam Karb-o-Bala ke
Ghar lut gaya saara

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Chehre se numaayaan jo mere Karb-o-Bala hai
Yeh haal to Abbas ke marne se hua hai
Chhoota woh sahaara

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Ek zakhm hai Qasim ka mere qalb-o-jigar mein
Jo chaand ujaalon ka sabab tha mere ghar mein
Woh bhi gaya maara

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Bas bhai ke maatam mein rahi, qaid bhi kaati
Lekin main kabhi Aun-o-Muhammad ko na royi
Ab deti hoon pursa

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Bazaar mein Abid pe zaeefi hui taari
Woh aaj bhi rota hai aseeri pe hamaari
Ghamkhwaar hamaara

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Sadaat ke halqe ne mujhe aa ke chhupaaya
Jab Shaam ke haakim ne mera naam pukaara
Us ranj ne maara

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Shireen se mulaaqaat hui raah mein ek baar
Pehchaan nahin paayi mujhe woh bhi dil-afgaar
Dil ro ke pukaara

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Sad haif, kuja raah-e-Damishq aur kuja main
Karbala se chali, ho gayi khud Karb-o-Bala main
Zulmat ka safar tha

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Irfan, yeh alfaaz jo Mazhar ne likhe hain
Insaan to kya cheez hai, patthar ko rula dein
Jaise ke yeh jumla

Pehchano Khudara (×2)
Mujhko to jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×4)

Pehchano Khudara (×2)
Mujhe jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×2)
Pehchano Khudara (×2)
Mujhe jeete ji gham-e-Shabbir ne maara
Main Aun-o-Muhammad ki maa hoon (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Hazrat Qasim, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.