Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Qafla Aagaya

Irfan Haider

2015Urdu
2015UrduImam HussainMuharram
Qafla Aagaya is a 2015 Urdu noha recited by Irfan Haider. It depicts Fatima Sughra's initial joy at the news that the captive family is returning to Medina, followed by the devastating revelation of the martyrs who will never come home. The verses remember Imam Hussain, Ali Akbar, Ali Asghar and Hazrat Abbas.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Lyrics

Qafla Aagaya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Qafla Aagaya

Qafla Aagaya

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Qafla Aagaya

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haan...
Haaye Sughra (×4)

Palte Zindan Se Jis Waqt Ahl-e-Haram
Aur Nazdeek-e-Yasrab Hue Mahv-e-Gham
Haaye Sughra
Sughra Ne Khabar Jab Paayi
Woh Ghar Se Nikal Aayi
Deti Hui Sada...

Aao Ahl-e-Madina Aao
Phool Barsao Nazrein Bichhao
Saare Yasrab Ki Galiyan Sajao (×2)
Ab Charaghan Yahan (×2) Be-Misal Karo
Mere Baba Ka Istaqbal Karo (×2)

Qafla Aagaya (×3)
Mere Baba Ka...
Qafla Aagaya

Guzrenge Jahan Se Baba Mere
Mehkao Woh Galiyan Saari
Tum Un Pe Nichhawar Jaan Karo
Ho Jaoon Main Sadqe Waari (×2)
Is Ghar Ki Baharein Le Kar
Woh Dekho Mere Dar Par
Qafla Aagaya (×3)
Mere Baba Ka...
Qafla Aagaya

Lo Aaj Phire Din Sughra Ke
Kehte Hain Sabhi Do Rahe
Kal Zinda Laash Ke Jaisi Thi
Ab Jeene Ko Dil Chahe (×2)
Lo Badla Naseeb Is Ghar Ka
Hamshakl-e-Payambar Ka
Qafla Aagaya (×3)
Mere Akbar Ka
Qafla Aagaya

Ek Saal Hua Veeran Hue
Aaghosh Meri Aur Pehlu
Ab Laut Ke Aate Hain Asghar
Aur Dil Pe Nahi Hai Qabu (×2)
Aayi Hai Meri Madar Bhi
Hai Godi Mein Asghar Bhi
Qafla Aagaya (×3)
Mere Asghar Ka
Qafla Aagaya

Ab Chain Se Soyega Yasrab
Na Khauf Hai Na Veerani
Laut Aaye Safar Se Ghar Apne
Woh Sher-e-Khuda Ka Saani (×2)
Mashhoor Hai Jo Taqat Mein
Lo Un Ki Qayadat Mein
Qafla Aagaya (×3)
Mere Ghazi Ka
Qafla Aagaya

Nagah Sada Sughra Suni
Kehti Hai Ali Ki Beti
Bekaar Hai Tera Khush Hona
Ujri Hai Yeh Sayyedzadi (×2)
Haaye Karbobala Mein Lut Kar
Zindan Se Riha Ho Kar
Qafla Aagaya (×3)
Tere Baba Ka...
Qafla Aagaya

Mat Soch Ke Aaye Hain Baba
Mat Soch Ke Aaye Akbar
Darya Pe Chacha Sota Hai Tera
Jangal Mein Hai Tera Asghar (×2)
Roti Hain Lahoo Yeh Aankhein
Ek Qaidi Ke Saaye Mein
Qafla Aagaya (×3)
Tere Baba Ka...
Qafla Aagaya

Gham Aur Khushi Ke Pehlu Hain
Kya Dard Bhara Hai Manzar
Rota Hai Lahoo Irfan-e-Aza
Alfaaz Bhi Tere Mazhar (×2)
Zainab Ne Kaha Ghabra Ke
Masooma Ko Dafna Ke
Qafla Aagaya (×5)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.