Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Rab Janay Hussain Janay

Irfan Haider

2012Urdu
2012UrduImam HussainMuharram
Rab Janay Hussain Janay is a sorrowful noha recited by Irfan Haider reflecting on Imam Hussain's journey from Madina to Karbala and the suffering of Bibi Zainab (SA) and Imam Zainul Abidin (AS) during captivity. Its repeated refrain contrasts the spiritual burden known to Imam Hussain (AS) with the hardships witnessed by the surviving members of the Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Lyrics

Rab Janay Hussain Janay Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Rab Janay Hussain Janay

Rab Janay Hussain Janay

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Rab Janay Hussain Janay

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Hussain Ae Ghareeb-e-Sayyeda, Hussain

Mukhtasar Si Fauj Liye Sar Ko Hatheli Pe Rakhe
Parda Nasheenon Ko Liye Ghar Se Chale, Hussain
Shabeeh-e-Payambar Ko Liye
Saath Ali Asghar Ko Liye
Abid-e-Muztar Ko Liye Ghar Se Chale

Tamam Ahl-e-Zameen, Tamam Ahl-e-Falak
Sitare, Shams-o-Qamar, Jinn-o-Bashar
Darya, Shajar, Sab Ne Kaha

Woh Madine Se Karbala Ka Safar
Rab Jane Hussain Jane (×2)
Woh Karbala Se Shaam Ka Safar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Woh Hajj Ko Umre Mein Tabdeel Kar Chuka To Phir
Zameen Khareed Li Apne Mazar Ki Khatir
Chala Woh Chhod Ke Kis Baat Pe Ghar
Rab Jane Hussain Jane
Mere Hussain Ke Maqsad Ko Magar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Yeh Kya Ke Sookhe Labon Par Saja Ke Nad-e-Ali
Jawan Bete Ke Seene Se Kheench Li Barchhi
Hussain Laya Kahan Se Yeh Jigar
Rab Jane Hussain Jane
Yeh Hausla Yeh Shujaat Yeh Jigar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Woh Zulm Jhel Gaya Anbiya Jo Seh Na Sake
Utha Ke Laya Bahattar Janaze Ek Din Mein
Phir Uske Baad Sina Par Woh Safar
Rab Jane Hussain Jane
Sina Pe Bola Jo Hussain Ka Sar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Chale Jo Zainab-o-Sajjad Qaafela Lekar
Behen Ke Saath Sina Par Chala Hussain Ka Sar
Hai Ek Raaz Aseeron Ka Safar
Rab Jane Hussain Jane
Hue Jo Zulm Sar-e-Raah Magar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Nabi Ki Aal Ne Jo Zulm Raah Mein Jhele
Badan Pe Kar Diye Tehreer Taziyanon Ne
Padi Aseeron Pe Kis Kis Ki Nazar
Rab Jane Hussain Jane
Nazar Ke Teeron Ki Takleef Magar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Kahin Se Aag Barasti Thi Aur Kahin Patthar
Kaleja Aag Ko Sehta Tha Aur Jabeen Patthar
Jala Is Aag Mein Kis Kis Ka Jigar
Rab Jane Hussain Jane
Aur Ek Aag Tha Koofe Ka Safar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Kabhi Rasan Kabhi Rote The Paon Ke Chhale
Kabhi Aseer Tadapte Kabhi Sina Wale
Aur Is Taweel Musafat Ka Asar
Rab Jane Hussain Jane
Woh Qarya Qarya Aseeron Ka Guzar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Giri Jo Raah Mein Naake Se Shah Ki Dukhtar
Ruka Woh Neza Tha Jis Par Mere Hussain Ka Sar
Sabab Sakina Ke Girne Ka Magar
Rab Jane Hussain Jane
Thi Kis Ki God Mein Woh Noor-e-Nazar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Yeh Marsiya Hai Ke Noha Hai Kya Kahoon Irfan
To Mazhar Abidi Bola Hai Dard Ka Quran
Kahan Se Aayi Hai Ek Ek Satar
Rab Jane Hussain Jane
Jo Dard Kar Diye Tehreer Magar
Zainab Jane Sajjad Jane (×3)

Salam Zainab-e-Kubra
Salam Sayyed-e-Sajjad

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Aseeri-e-Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.