Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Sajjad Zara Ahista

Irfan Haider

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Sajjad Zara Ahista is an Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Mazhar Abidi. It imagines Imam Hussain addressing Imam Zainul Abidin as the martyrs of Karbala are prepared for burial. The verses recall the bodies of Ali Akbar, Qasim, Abbas, Aun, Muhammad and the other companions, asking that they be handled gently.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Sajjad Zara Ahista Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Sajjad Zara Ahista

Sajjad Zara Ahista

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Sajjad Zara Ahista

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Haaye

Ejaaz-e-Imamat Se Sajjad Chale Aaye
Karbala, Karbala
Aur Ganj-e-Shaheedan Mein Be-Gor-o-Kafan Laashe Sajjad Ne Dekhe
Shabbir Ke Maqtal Mein Sajjad Jyun Hi Pahunche
Aawaz Yeh Aati Thi Shabbir Ke Laashe Se
Aao Ae Beta Do Humein Pursa In Shaheedon Ka
Dafn Karne Mujhe Tu Aaya Hai
Dhyan Rakhna Magar Mere Laal
Main Hoon Zakhmi Badan, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista (×2)

Ae Khudawand-e-Gham (×2)
Tujh Pe Khud Bhi Masaib Ka Saaya Hai
Tera Ehsan Hai Be-Kafan Ko Kafan Dene Aaya Hai
Mera Tashna-Dahan, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista

Tu Akela Hai Aur (×2)
Dafn Karne Ko Laashe Bahattar Hain
Khaak Par Sab Ke Tan Hain Magar Sar Sabhi Ke Sinaan Par Hain
Ae Sabhi Khasta-Tan, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista

Dafn Karna Pisar (×2)
Hamshabeeh-e-Payambar Ka Tum Laasha
Dhyan Rakhna Magar Zakhmi Seena Hai Us Jaan-e-Madar Ka
Ho Na Koi Dukhan, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista

Sab Ke Laashe Tujhe (×2)
Mil Hi Jayenge Maqtal Mein Ae Qaidi
Dhoondhna Dasht Mein Ek Gathri Mein Hai Laash Qasim Ki
Hain Woh Ibn-e-Hasan, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista

Laash-e-Abbas Ko (×2)
Baad Mein Us Ke Marqad Mein Le Jana
Dono Baazu Juda Hain Unhein Dhoondh Kar Pehle Le Aana
Woh Hain Saqqa-e-Man, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista

Lene Jao Jo Tum (×2)
Nehr Se Laashe Aun-o-Muhammad Ke
Maa To Royi Nahi In Ke Laashe Pe Tum Rona Shehzade
Dono Hain Gulbadan, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista

Saari Fauj-e-Khuda (×2)
Be-Kafan So Rahi Hai Isi Ban Mein
Shauzab-o-Jaun-o-Hurr Hain Habib Aur Ghazi Ke Bete Hain
Sab Hain Tashna-Dahan, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista

Shaam-e-Ghurbat Bhi Hai (×2)
Yaad Bazaar-o-Zindan Hai Tujh Ko
Mazhar-e-Ranj-o-Gham Mere Gham Ka To Irfan Hai Tujh Ko
Main Hoon Zakhmi Badan, Pehnana Kafan
Sajjad Zara Ahista (×2)
Main Hoon Zakhmi Badan
Sajjad Zara Ahista

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.