Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Sakina Ke Taboot Par

Irfan Haider

2012Urdu
2012UrduImam HussainMuharram
Sakina Ke Taboot Par is a heartbreaking noha recited by Irfan Haider about the remembrance of Bibi Sakina (SA) and her suffering during captivity in Shaam. The verses imagine mourners gathered around her symbolic bier, offering a covering, earrings and a shroud while recalling her thirst, the wounds caused by oppression and her longing for Imam Hussain (AS).Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Lyrics

Sakina Ke Taboot Par Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Sakina Ke Taboot Par

Sakina Ke Taboot Par

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Sakina Ke Taboot Par

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sakina, Haaye Pyaas (×3)
Sada-e-Girya-o-Matam Hai, Aah-o-Zari Hai
Haaye Sakina, Haaye Pyaas (×3)

Taboot Sakina Ka Mere Ghar Mein Saja Hai
Behta Hai Lahu Aankhon Se Har Lab Pe Buka Hai
Dil Chashm-e-Tasawwur Se Mera Dekh Raha Hai
Kohraam, Kohraam Ajab Aal-e-Muhammad Mein Bapa Hai
Fughaan Karne Aayi Hain Kuch Bibiyan
Fughaan Karne Aayi Hain Kuch Bibiyan

Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Shehr-e-Farsh-e-Majlis Ajab Kaifiyat Hai
Tadapne Lage Jism-o-Jaan
Tadapne Lage Jism-o-Jaan Haaye Haaye
Larazta Hai Taboot Farte Alam Se
Chale Aaye Ahl-e-Jinan
Koi Aa Gaya Pehen Kar Bediyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Thi Mazloom Baba Ki Mazloom Dukhiya
Lehad Qaidkhana Bana
Lehad Qaidkhana Bana Haaye Haaye
Jise Maut Ghurbat Mein Aayi Thi Logo
Na Ghusl-o-Kafan Mil Saka Haaye Haaye
Kafan Le Ke Aajao Koi Yahan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Phuphi Se Yeh Kehti Thi Ro Ro Ke Aksar
Rihai Milegi Kabhi
Rihai Milegi Kabhi Haaye Haaye
Ghutan Hai Yahan Par Chalo Ghar Chalo Ghar
Magar Ghar Nahi Ja Saki Haaye Haaye
Rihai Ka Noha Padho Noha-Khwan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Yeh Kehte Hain Sajjad Kaise Ruke Hum
Yeh Shaam Aur Koofa Nahi
Yeh Shaam Aur Koofa Nahi Haaye Haaye
Karo Aaj Jee Bhar Ke Noha-o-Matam
Yeh Shaam Aur Koofa Nahi Haaye Haaye
Nahi Ab To Rone Pe Pabandiyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Yeh Bachchi Padar Ki Azadar Ban Kar
Yateemi Ke Gham Seh Gayi
Yateemi Ke Gham Seh Gayi Haaye Haaye
Rihai Mili To Haram Ghar Gaye The
Yeh Bachchi Wahin Reh Gayi Haaye Haaye
Masaib Aseeri Ke Karne Bayan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Nigahon Se Ojhal Hai Lekin Yaqeen Hai
Sab Aaye Hain Ahl-e-Haram
Sab Aaye Hain Ahl-e-Haram Haaye Haaye
Nigahen Jhuka Kar Uthani Nahi Hain
Sab Aaye Hain Ahl-e-Haram Haaye Haaye
Kaneezon Ke Hamraah Aayi Hai Maa
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Sitam Sehte Sehte Jahan Se Gayi Thi
Tamachon Ke Lekar Nishan
Tamachon Ke Lekar Nishan Haaye Haaye
Jala Aag Se Uska Daman Bhi Dil Bhi
Lahu Kaan Se The Rawan Haaye Haaye
Hai Zakhmon Ka Marham Yeh Ashk-e-Rawan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Bulati Thi Baba Ko Aawaz De Kar
Yateema Yeh Kehte Hue
Yateema Yeh Kehte Hue Haaye Haaye
Abhi Tak Main Pyasi Hoon Baba Yahan Par
Chacha Bhi Khafa Ho Gaye Haaye Haaye
Rakho La Ke Mashk-o-Alam Bhi Yahan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Jo Aansoo Baraste Hain Irfan-o-Mazhar
Yeh Hai Karwan-e-Aza
Yeh Hai Karwan-e-Aza Haaye Haaye
Yeh Sajjad Kehte Hain Farsh-e-Aza Par
Karo Khoob Matam Bapa Haaye Haaye
Ke Aate Hain Rone Ko Khud Baba Jaan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye
Koi Lao Chadar Koi Baliyan
Sakina Ke Taboot Par Haaye Haaye

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Shahadat Bibi Sakina
Original language
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.