Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Uth Ja Mere Sajjad

Irfan Haider

2025Urdu
2025UrduImam Zainul AbidinMuharram
Uth Ja Mere Sajjad is a 2025 Noha recited by Irfan Haider and written by Zeeshan Abidi. Set during Shaam-e-Ghareeban after the tragedy of Karbala, it depicts Bibi Zainab (SA) awakening Imam Zainul Abidin (AS), describing the suffering of the surviving family and their impending captivity. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Personalities
Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Uth Ja Mere Sajjad

Lyrics

Uth Ja Mere Sajjad Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Uth Ja Mere Sajjad

Uth Ja Mere Sajjad

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Uth Ja Mere Sajjad

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Uth Ja Mere Sajjad
Haaye Sajjad ×3
Shaam-e-Ghareeban, Jalte Khaime, Uthta Dhuaan
Aun-o-Muhammad Ki Maa
Aayi Sajjad Ke Khaime Mein
Kaha Shaana Hila Kar Rote Hue
Aabaad Rahegi Karbobala ×2
Chal Shaam Karein Aabaad, Uth Ja Mere Sajjad
Uth Ja Mere Sajjad, Mera Maan-Jaya Nahi Aaya
Sun Zainab Ki Fariyaad, Uth Ja Mere Sajjad

Amma Ka Haath Gale Par Tha, Door Se Dekha Tha Maine, Haaye
Maqtal Mein Sookhi Gardan Par Jab Shimr Ne Terah Waar Kiye
Woh Bhai Mera, Wa Waila, Maara Gaya Pyasa, Wa Waila
Jis Bhai Par Qurbaan Hui ×2
Pyasi Meri Aulaad, Uth Ja Mere Sajjad

Khaimon Mein Hi Jal Jayein Na, Khaimon Se Nikal Jayein Bahar, Haaye
Kya Hukm Hai Tera Zainab Ko, Ek Baar Bata De Tu Uth Kar
Na Qasim Hai, Na Asghar Hai, Abbas Hai Aur Na Akbar Hai
Bas Tera Sahara Hai Hum Ko ×2
Bhaiya Shabbir Ke Baad, Uth Ja Mere Sajjad

Yeh Shaam-e-Ghareeban Hai Beta, Teri Pehli Shaam-e-Imamat Ki, Haaye
Teri Salari Mein Shaam Talak Karna Hai Safar Ban Kar Qaidi
Na Mahmal Hai, Na Howdaj Hai, Na Lashkar Ki Woh Saj-Dhaj Hai
Jab Haath Bandhenge Gardan Se
Ghazi Aayega Yaad, Uth Ja Mere Sajjad

Be-Maqna-o-Chadar, Naaqe Se Humein Jaana Hai Sajjad Jahan, Haaye
Ae Laal Suno, Kaise Hoga Sadat Ka Isteqbal Wahan
Bazaar Mein Aane Se Pehle Rokenge Humein Darwaze Pe
Galiyon Ko Sajaya Jayega ×2
Naye Honge Sitam Ijaad, Uth Ja Mere Sajjad

Sajjad Teri Masoom Behen Zalim Ke Tamache Khayegi, Haaye
Maangega Kaneezi Mein Hakim, Darbar Mein Jab Woh Jayegi
Mar Jayegi Durre Kha Kha Kar, Zindan Mein Us Ko Dafna Kar
Tujhe Rona Hai Chalis Baras ×2
Na Honge Kabhi Hum Shaad, Uth Ja Mere Sajjad

Az Shaam, Az Shaam, Az Shaam Suna Aur Aankhein Kholein Abid Ne, Haaye
Zainab Ne Kaha Ae Zeeshan-o-Irfan Sahara Dete Hue
Maqtal Mein Pare Un Laashon Ka, Chehlum Karne Un Pyason Ka
Aayenge Dobara Karbobala ×2
Jab Honge Hum Aazaad, Uth Ja Mere Sajjad
Haaye Sajjad

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Personalities
Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Uth Ja Mere Sajjad

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.