Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shehzada E Qasim

Irfan Haider

2015Urdu
2015UrduImam HasanMuharram
Shehzada E Qasim is a 2015 Urdu noha recited by Irfan Haider in remembrance of Hazrat Qasim ibn Hasan (AS), the young martyr of Karbala. Opening with the Persian-inspired welcome Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim, the poetry portrays his courage, his refusal to submit to injustice, his encounter with Arzaq-e-Shami and the heartbreaking scene of Imam Hussain (AS) gathering his shattered remains. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Lyrics

Shehzada E Qasim Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shehzada E Qasim

Shehzada E Qasim

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Shehzada E Qasim

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shah Qasim Jaanam (×8)
Ya Qasim Jaan

Dulha Qasim, Qasim (×2)
Shah Qasim (×2)

Shehzada-e-Qasim Jaanam
Ae Naujawanam
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim
Shah Qasim Jaanam

Kamar Mein Patka Saja Kar Woh Mahtab Chala, Shah Qasim
Sawal-e-Bai'at-e-Fasiq Ka Ek Jawab Chala, Shah Qasim
Hasan Ka Laal Misal-e-Abu Turab Chala
To Karbala Bhi Adab Se Boli
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim

Khayam-e-Shah Se Woh Shan-e-Kirdigar Chala, Shah Qasim
Hussaini Fauj Ka Munh Bolta Waqar Chala
Ajal Bikherta Maqtal Mein Rahwar Chala
Fida Tumhare, Nabi Hain Saare
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim

Rajaz Labon Pe Sajaye Ba-Rasm-e-Islami, Shah Qasim
Abu Turab Ka Beta Hoon, Kaisi Nakami
Kahan Chhupa Hai Woh Badkar Arzaq-e-Shami
Jo Dekhe Tewar, To Bole Haider
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim

Jo Khainchi Ghaiz Mein Aakar Husam Qasim Ne, Shah Qasim
Udoo Se Poochha Bata Aur Naam Qasim Ne
Kiya Laeenon Ka Jeena Haram Qasim Ne
Wafa Pukari, Qaza Pukari
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim

Wigha Ko Arzaq-e-Shami Ke Do Pisar Aaye, Shah Qasim
Zara Si Der Mein Ghode Se Khaak Par Aaye
Zameen Pe Laashe, Hawaon Mein Sar Nazar Aaye
Paron Ko Tole, Farishte Bole
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim

Jo Aaya Arzaq-e-Shami Sambhale Qalb-o-Jigar, Shah Qasim
Hasan Ka Laal Badha Qahr-e-Kibriya Ban Kar
Badan Ko Bhi Na Khabar Thi Ke Kab Hua Be-Sar
Faza Mein Naara Hasan Ka Goonja
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim

Ghira Laeenon Mein Nagah Gul-Badan Qasim, Shah Qasim
Sumon Se Ghodon Ke Uljha Woh Khasta-Tan Qasim
Bikhar Gaya Kai Tukdon Mein Be-Watan Qasim
Zameen Royi, Yeh Ro Ke Boli
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim

Hussain Dasht Mein Pahunche The Marsiya Padhte, Shah Qasim
Aba Zameen Pe Bichha Kar Utha Liye Tukde
Aba Ko Dosh Pe Rakha Yeh Bain Karte Hue
Main Roya Dilbar, Yeh Baat Keh Kar
Khush Aamdeed Ba Maidan-e-Karbala Qasim

Yahin Pe Mazhar-o-Irfan Khatm Hai Noha, Shah Qasim
Bikhar Gaya Sar-e-Maqtal Woh Qasim-e-Naushah
Radif Ban Gaya Qirtas Par Yahi Misra
Shah Qasim Jaanam, Ae Naujawanam
Khush Aamdeed Wa Maidan-e-Karbala Qasim

Shehzada-e-Qasim Jaanam, Ae Naujawanam
Khush Aamdeed Wa Maidan-e-Karbala Qasim
Shah Qasim Jaanam (×6)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.