Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Thame Hai Alam

Shadman Raza

2017Urdu
2017UrduHazrat AbbasAshura
Thame Hai Alam is an Urdu Noha recited by Shadman Raza. It commemorates Hazrat Abbas (AS), the standard-bearer of Karbala, his loyalty to Imam Hussain (AS), and the grief of the Ahlul Bayt following his martyrdom.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Thame Hai Alam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Thame Hai Alam

Thame Hai Alam

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Thame Hai Alam

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Abbas Alamdar ×2

Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar ×2
Narghe Mein Laeenon Ke Akela Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar ×2

Ab Kaise Sakina Ko Main Pohnchaunga Paani ×2
Bas Baat Yehi Soch Ke Rota Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Duniya Meri Andher Hai Aye Bhai Tere Baad ×2
Tu Hi Meri Aankhon Ka Ujala Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Kya Ho Gaya Sab Tera Badan Teeron Se Chhalni ×2
Kyun Khoon Mein Bhara Tera Pharera Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Thi Sheh Ki Sada Koi Use De De Sahara ×2
Be-Dast Hai Rahwar Se Girta Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Ek Shor Qayamat Ka Tha Sab Ahl-e-Haram Mein ×2
Jab Tera Alam Khaime Mein Aaya Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Dil Thaam Ke Roti Hi Rahi Raah-e-Sitam Mein ×2
Zainab Ko Bohat Yaad Tu Aaya Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Jab Jab Bhi Lage Bali Sakina Ko Tamache ×2
Har Baar Sakina Ne Pukara Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Zindaan Mein Dar Lagta Hai Kehti Thi Sakina ×2
Jab Bhi Yeh Sada Aayi Hai Tarpa Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Izhaar Wohi Hashr Ke Din Shadman Hoga ×2
Jiske Bhi Labon Par Tera Noha Hai Alamdar
Thaame Hai Alam, Khoon Mein Dooba Hai Alamdar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Hazrat Abbas, Imam Hussain, Bibi Sakina, Sayyida Zainab
Occasion
Ashura
Themes
Martyrdom of Hazrat Abbas, The standard of Abbas, The grief of Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.