Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Wada

Irfan Haider

2019Urdu and Arabic
2019Urdu and ArabicImam AliMuharram
Wada is a 2019 Urdu noha recited by Irfan Haider, expressing a solemn promise to Bibi Fatima Zahra never to forget the tragedy of Karbala. The poetry celebrates the continuation of Muharram processions, the raising of Alam, the remembrance of Bibi Sakina, and the commitment of future generations to mourn Imam Hussain.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu and Arabic

Lyrics

Wada Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Wada

Wada

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Wada

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Namaz, Roza-o-Hajj-o-Zakat, Khums-o-Jihad
Har Ek Ibadat-e-Parwardigar Karte Hain
Hum Ali Se Jo Pyar Karte Hain (×2)

Ya Zahra... Ya Zahra...

Hum Saare Azadar Tere Bachchon Ke Ghamkhwar
Bas Majlis-o-Matam Ke Talabgar Hain
Hum Wafadar Hain Bibi, Hum Azadar Hain Bibi
Hazir Hain...
Wada Hai Hamara (×2)
Ya Fatima Zahra...
Nahi Bhoolenge Karbala
Abadan Wallah Ya Zahra Ma Nansa Hussaina (×2)

Haan...
Kya Hai Yeh Zameen-o-Zaman
Wallah Ya Zahra
Dekhega Yeh Saara Jahan
Wallah Ya Zahra
Hum Chand Par...
Hum Chand Par Hussain Ka Gham Le Ke Jayenge
Zahra Tere Hussain Pe Aansoo Bahayenge (×2)

Jab Roz-e-Azal Hum Ne Ihram-e-Aza Bandha
Baazu Pe Aqeedat Se Taweez-e-Wafa Bandha
Ya Zahra... Ya Zahra...
Ab Kaise Rukenge Qadam
Wallah Ya Zahra
Jayenge Julooson Mein Hum
Wallah Ya Zahra
Har Haal Mein...
Har Haal Mein Yeh Mah-e-Muharram Manayenge
Zahra Tere Hussain Pe Aansoo Bahayenge (×2)

Duniya Ko Batayenge Yeh Qaum Hussaini Hai
Yeh Shaal-e-Aza Hum Ne Yunhi Nahi Pehni Hai
Ya Zahra... Ya Zahra...
Thak Jayega Suraj Magar
Wallah Ya Zahra
Jaari Yeh Rahega Safar
Wallah Ya Zahra
Har Ghar Mein Hum...
Har Ghar Mein Hum Charagh-e-Aza Ke Jalayenge
Zahra Tere Hussain Pe Aansoo Bahayenge (×2)

Wallah... Wallah... Wallah... Wallah...
Alam Gharon Pe Hum Lagayenge
Dilon Ko Apne Azakhana Hum Banayenge
Phir Us Mein Aap Ko Mehman Hum Banayenge
Ya Zahra... Ya Zahra...
Imdad Kare Gar Imam
Wallah Ya Zahra
Baqi Hai Faqat Ek Kaam
Wallah Ya Zahra
Shabbir Ke...
Shabbir Ke Jaisa Tera Roza Banayenge
Zahra Tere Hussain Pe Aansoo Bahayenge (×2)

Ae Meri Bibi Karam Tera Jo Salar Bane
Har Azadar Tera Aisa Azadar Bane
Koi Salman Koi Meesam-e-Tammar Bane
Samna Zulm Se Ho Jaye To Mukhtar Bane
Chahiye Saath Tera...
Zauja-e-Sher-e-Khuda...
Mit Jayenge Dushman Sabhi
Wallah Ya Zahra
Yeh Gham Na Rukega Kabhi
Wallah Ya Zahra
Is Gham Ke Liye...
Is Gham Ke Liye Jaan Bhi Ghar Bhi Lutayenge
Zahra Tere Hussain Pe Aansoo Bahayenge (×2)

Sochega Zamana Bhi Ashkon Ke Sahifon Par
Kyun Naam Sakina Ka Likha Hai Sabeelon Par
Ya Zahra... Ya Zahra...
Abbas Ke Haq Ki Qasam
Wallah Ya Zahra
Har Aath Muharram Ko Hum
Wallah Ya Zahra
Atfal Ko...
Atfal Ko Saqqa-e-Sakina Banayenge
Zahra Tere Hussain Pe Aansoo Bahayenge (×2)

Tera Beta, Mera Sayyid, Mera Sardar Hussain!
Ho Gaya Karbobala Khoon Se Tayyar Hussain!

Hussain Hussain! Hussain Hussain!
Hussain Hussain!

Woh Teen Din Ki Pyas Woh Ahmad Ka Ladla
Bikhre Pare The Laashe Shaheedon Ke Ja-Ba-Ja
Qasim Ki Laash Thi Kahin Akbar Sa Mah-Laqa
Baazu Kata Ke So Chuka Abbas-e-Bawafa
Abbas-e-Bawafa, Abbas-e-Bawafa, Abbas-e-Bawafa
Hal-Min Ki De Chuke Jo Sada Shah-e-Namdar (×2)
Sher-e-Khuda Ke Sher Ne Tab Kheenchi Zulfiqar

Hussain Hussain! Hussain Hussain! (×3)

Aayi Sada-e-Ghaib Ke Bas Rok Lo Hisam
Irfan-o-Mazhar Abidi Ab Khatm Ho Kalam

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu and Arabic

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.