Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Wada Sajjad Nibhayega

Irfan Haider

2016Urdu
2016UrduImam HussainMuharram
Wada Sajjad Nibhayega is a 2016 Urdu noha recited by Irfan Haider. It portrays Imam Zainul Abidin's promise to Imam Hussain to protect and lead the survivors of Karbala through captivity. The verses remember Bibi Zainab's lost veil, the suffering of the Ahlulbayt, the markets of Shaam and the responsibility of the fourth Imam after Ashura.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Lyrics

Wada Sajjad Nibhayega Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Wada Sajjad Nibhayega

Wada Sajjad Nibhayega

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Wada Sajjad Nibhayega

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sajjad, Haaye Sajjad (×2)

Tha Yeh Manzar Ajab
Aalam-e-Zarr Mein Jab
Ahd-o-Paiman Karbobala Ke Hue (×2)
Saare Waadon Ki Hami Bhari Shah Ne
Manzil-e-Sabr Mein Uff Na Ki Shah Ne (×2)
Baat Zainab Ke Parde Ki Aayi Thi Jab (×2)
Ho Gaye Ro Ke Khamosh Shah-e-Arab

Bole Sajjad...
Haan Kaho Baba Yeh Kaam To Mujh Ko Karna Hai
Yeh Aap Ka Beta Karbal Se
Ek Qafila Le Kar Jayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)
Sajjad Nibhayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Ghar Aap Lutayenge Baba
Bazaar Mein Jana Hai Mujh Ko (×2)
Maqtal Ko Aap Basayenge
Zindan Basana Hai Mujh Ko (×2)
Zindan Mein Apni Behna Ko
Yeh Noha-Khwan Dafnayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Jab Gyarah Muharram Aayegi
Sadat Banenge Jab Qaidi (×2)
Mahmil Ke Bajaye Oonton Par
Aulaad-e-Payambar Baithegi (×2)
Us Roz Se Aap Ka Shehzada
Salar-e-Haram Kehlayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Hum Basti Basti Jayenge
Barsegi Aag Kahin Patthar (×2)
Dekhengi Nigahein Aada Ki
Jab Meri Phuphi Ko Be-Chadar (×2)
Dauran-e-Safar Bas Yehi Sitam
Beemar Ke Sar Ko Jhukayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Aankhon Se Lahoo Barsayega
Durre Bhi Badan Par Khayega (×2)
Us Tishna-Labi Ki Shiddat Mein
Zanjeer Ka Bojh Uthayega (×2)
Yeh Zakhm Bhi Dil Par Khayega
Baghi Ka Pisar Kehlayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Na-Pak Zabanon Par Hoga
Jab Naam Ali Ki Beti Ka (×2)
Zanjeer Bhi Mujh Par Royegi
Aur Tauq Bhi Mujh Par Royega (×2)
Ae Baba Yeh Gham Ka Manzar
Sajjad Ko Khoon Rulayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Royegi Mashiyyat Bhi Mujh Par
Jab Dekhegi Yeh Haal Mera (×2)
Sadqe Ki Khajoorein Barsegi
Yun Hoga Istaqbal Mera (×2)
Ghairat Ka Khuda Is Ummat Se
Yeh Ajr-e-Risalat Payega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Kulsoom Ke Aage Jab Khauli
Abbas Ke Sar Ko Layega (×2)
Us Waqt Sinaan Se Reti Par
Abbas Ka Sar Gir Jayega (×2)
Ghash Kha Kar Sambhlega Qaidi
Sambhlega Phir Ghash Khayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Irfan-e-Aza Dil Zainab Ka
Woh Dard-o-Alam Ka Mazhar Tha (×2)
Zanjeer Mein Jakre Qaidi Ka
Har Waqt Yehi Ek Noha Tha (×2)
Wada Sajjad Nibhayega
Wada Sajjad Nibhayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)
Sajjad Nibhayega
Wada Sajjad Nibhayega (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.