Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Zehra

Irfan Haider

2015Urdu
2015UrduAyyam-e-Fatimiyah
Ya Zehra is a devotional Urdu noha recited by Irfan Haider in 2015, with poetry attributed to Mazhar Abidi. Addressing Bibi Fatima Zahra (SA), it expresses love, reverence and spiritual dependence through prayers for protection, forgiveness, sustenance and children. The verses also reflect on the suffering of Bibi Zahra (SA), the martyrdom of Hazrat Mohsin (AS), the remembrance of Imam Hussain (AS) and the continuing traditions of Azadari. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah, Muharram
Original
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Lyrics

Ya Zehra Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Zehra

Ya Zehra

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Ya Zehra

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Fatima Zahra, Fatima Zahra, Zahra...

Fatima Zahra, Fatima Zahra (×4)

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Ae Meri Bibi (×2)
Tere Dar Pe Isteghasa Hai
Tera Mamnoon Meri Shehzadi Yeh Jahan Saara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Tu Hamein Hifz Aur Amaan De De
Apni Chadar Ka Sayebaan De De
Teri Qudrat Mein Kya Nahi Bibi
Tu Jise Chahe Do Jahan De De

Ya Zahra, Ya Zahra

Ae Meri Bibi (×2)
Aansuon Ne Dua Maangi Hai
Teri Tasbeeh Padh Ke Dil Ne Tujhe Pukara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Qarz Maqrooz Ka Ada Kar De
Muflison Ka Naseeb Wa Kar De
Jinki Godi Hari Nahi Bibi
Unko Aulaad Tu Ata Kar De

Ya Zahra, Ya Zahra

Ae Meri Bibi (×2)
Bas Tu Hi Muraad Deti Hai
Teri Chaukhat Dar-e-Ilahi Ka Iste'ara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Farsh-e-Majlis Pe Aur Musalle Par
Har Jawan Keh Raha Hai Ro Ro Kar
Hum Rahein Na Rahein Magar Bibi
Ta Qayamat Rahe Gham-e-Sarwar

Ya Zahra, Ya Zahra

Ae Meri Bibi (×2)
Tere Bachchon Ka Gham Manate Hain
Apni Aulaad Se Kahin Badh Ke Gham Yeh Pyara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Un Shaheedon Ka Yeh Muqaddar Hai
Sayebaan Inka Teri Chadar Hai
Inke Seenon Pe Ae Meri Bibi
Daagh-e-Matam Nishan-e-Haider Hai

Ya Zahra, Ya Zahra

Ae Meri Bibi (×2)
Khuld Mein Shaheed Jab Jaaye
Teri Aawaaz Aaye, Aane Do Yeh Hamara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Khoon Ban Kar Ragon Mein Hai Noha
Meri Naslon Mein Bhi Rahe Noha
Jaise Maine Padha Hai Bachpan Se
Mera Naad-e-Ali Padhe Noha

Ya Zahra, Ya Zahra

Ae Meri Bibi (×2)
Iske Dil Mein Wilayat-e-Haider
Mere Maa Baap Ki Taharat Ka Ek Ishara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Tere Dil Par Hain Jo Sitam Toote
Zindagi Mein Jo Tune Gham Dekhe
Aasman-o-Zameen Pe Gar Hote
Misle Shab Woh Siyah Ho Jaate

Ya Zahra, Ya Zahra

Ae Meri Bibi (×2)
Dekh Kar Teri Museebat Ko
Saare Aalam Ka Dil Masaib Se Paara Paara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Tujhko Ummat Ne Yun Sataya Hai, Ya Zahra
Tujhko Ummat Ne Yun Sataya Hai
Marg-e-Mohsin Pe Bhi Rulaya Hai
Tujhko Baba Ke Baad Ummat Ne
Haaye Darbar Mein Bulaya Hai

Ya Zahra, Ya Zahra

Ae Meri Bibi (×2)
Kitne Sadme Uthaye Hain Tune
Jeete Ji Tujhko Meri Shehzadi Gham Ne Maara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Hai Yehi Mazhar Abidi Ki Dua
Tere Bachchon Ka Gham Rahe Zinda
Saath Irfan Ke Rahe Jaari
Tere Sadqe Mein Karwan-e-Aza

Ya Zahra, Ya Zahra

Ae Meri Bibi (×2)
Tere Dar Pe Sar Jhukate Hain
Har Hussaini Ka Tere Tukdon Pe Hi Guzara Hai
Zahra...

Ya Zahra, Ya Zahra (×2)

Warq-e-Matam Shod Aalam-e-Bala
Meer-e-Mann Maula...
Sarwar-e-Zahra
Aaha Wa Waila (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah, Muharram
Original language
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.