Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ye Azakhana E Hussain Hai

Irfan Haider

2017Urdu
2017UrduImam AliMuharram
Ye Azakhana E Hussain Hai is an Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Mazhar Abidi. It reflects on the spiritual significance of the Azakhana, where devotees gather to mourn Imam Hussain and the Ahlulbayt. The verses describe the Alam of Hazrat Abbas, the cradle of Ali Asghar, gatherings of mourning and the first majlis held during captivity.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Ye Azakhana E Hussain Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ye Azakhana E Hussain Hai

Ye Azakhana E Hussain Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Ye Azakhana E Hussain Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ae Azadaro Suno (×2)
Ae Naunihalo Suno
Ae Pursadaro Suno (×2)

Hussain Ya Hussain (×3)
Hussain Ya Hussain (×3)

Kuch Log Deen-e-Haq Ko Bachane Ke Waaste
Be-Ghar Hue Kuch Aise Ke Har Ghar Mein Aa Gaye
Ghar Azakhana Ban Gaya (×2)

Ghar Mein Zahra Ke Jab Qadam Aaye
Shah-e-Yasrab Shah-e-Umam Aaye
Pursa Lene Ko Aa Gaye Haider
Un Ke Bachchon Ke Jab Alam Aaye
Farsh-e-Majlis Ka Jab Bichhaya Gaya (×2)
Dil Ne Be-Sakhta Kiya Nauha
Yeh Azakhana-e-Hussain Hai (×4)

Ilm Mein Shohrat Hunar Wafadari
Zeenat-e-Ishq Ki Hain Taiyari
Ahl-e-Matam Ki Bas Yeh Khwahish Hai
Khana-e-Haq Mein Ho Azadari
Nazr-e-Maula Ka Ehtemam Bhi Ho (×2)
Hamiyan-e-Khuda Kare Nauha
Yeh Azakhana-e-Hussain Hai (×4)

Ek Alam Bawafa Ka Sajta Hai
Is Alam Par Khuda Ka Saya Hai
Ho Ke Be-Dast Woh Sakhi Ab Tak
Saari Duniya Ki Jholi Bharta Hai
Aur Duniya Ko Yeh Batata Hai (×2)
Mujh Se Milna Ho To Yahin Aana
Yeh Azakhana-e-Hussain Hai (×4)

Khali Aaghosh Wali Maa Behnein
Woh Jo Aulaad Ko Tarasti Hain
Un Ko Aulaad Bhi Ata Hogi
Aa Ke Mannat Agar Yahan Maanein
Ek Jhoola Yahan Hai Asghar Ka (×2)
Woh Ata Kar Ke Yeh Bata Dega
Yeh Azakhana-e-Hussain Hai (×4)

Shab Ki Tanhayi Mein Suno Aksar
Ek Bibi Yahan Hai Nohagar
Apne Bete Ka Pursa Lene Ko
Khud Baqiayya Se Aayi Hai Madar
Rone Walon Se Ro Ke Kehti Hain (×2)
Is Ko Aabad Hi Sada Rakhna
Yeh Azakhana-e-Hussain Hai (×4)

Qaidkhane Mein Pehli Majlis Ka
Aao Ahwal Suno Ahl-e-Aza
Marsiya-Khwan Bibiyan Saari
Zakira Un Mein Sani-e-Zahra
Matami Qaidiyon Ke Halqe Mein (×2)
Nauha Parhte The Ro Ke Zain-ul-Iba
Yeh Azakhana-e-Hussain Hai (×4)

Hai Gham-e-Karbala Mere Dil Mein
Hai Gham-e-Be-Rida Mere Dil Mein
Zakhm-e-Zain-ul-Iba Mere Dil Mein
Dard-e-Mushkil-Kusha Mere Dil Mein
Qabr-e-Shah-e-Huda Mere Dil Mein (×2)
Ab Mere Dil Ko Bhi Kahe Duniya
Yeh Azakhana-e-Hussain Hai (×4)

Baat Mushkil Hai Yeh Khuda Ki Qasam
Kya Likhe Mazhar Abidi Ka Kalam
Maa Ki Aaghosh Mein Suna Nauha
Maa Ki Aaghosh Mein Kiya Matam
Aur Irfan Jab Alam Dekhe (×2)
Maine Rote Hue Parha Nauha
Yeh Azakhana-e-Hussain Hai (×4)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.