Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yeh Roz E Ashoor Hai

Irfan Haider

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Yeh Roz E Ashoor Hai is an Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Mazhar Abidi. It describes the devastation of Karbala on Ashura, the thirst of Imam Hussain and the children, the loss of the martyrs, the suffering of Imam Zainul Abidin and the anguish of Bibi Zainab. Its verses portray the battlefield and the sorrow of the Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Yeh Roz E Ashoor Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yeh Roz E Ashoor Hai

Yeh Roz E Ashoor Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Yeh Roz E Ashoor Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussaina (×2)

Wird-e-Zaban Hai Ek Pyase Ki Kahani
Muztarib Dajla Ka Paani
Sawa Naize Pe Suraj Aa Gaya
Har Soo Dhuan Hai
Ro Rahe Hain Pyase Bachche Alqama Bhi Door Hai
Yeh Roz-e-Ashoor Hai (×3)

Har Taraf Bikhre Hain Laashe Sar Kahin Baazu Kahin
Aasman Se Khoon Barsa Khoon Ugalti Hai Zameen
Ambiya Hain Mahv-e-Matam Karbala Hai Sogwar
Ek Pyase Ke Gale Par Shimr Ke Khanjar Ki Dhaar
Ret Ke Teele Pe Zainab Hai Magar Majboor Hai
Yeh Roz-e-Ashoor Hai (×3)

Kya Yehi Hota Hai Logon Ek Musafir Se Sulook
Saatwin Se Band Paani Aath Pehron Ki Hai Bhook
Is Ki Ghurbat Par To Roye Zulm Bhi Aur Sabr Bhi
Mayyatein Bhi Khud Uthayi Aur Banayi Qabr Bhi
Jism Hai Teeron Se Chhalni Dil Ghamon Se Choor Hai
Yeh Roz-e-Ashoor Hai (×3)

Zindagi Ke Malikon Par Zindagi Hai Nauha-Khwan
Bain Karte Hain Kinare Alqama Mahv-e-Fughan
Ro Rahe Hain Zinda Laashe Mayyaton Par Sar Nahi
Kya Karein Kis Ko Bulayein Woh Ke Jin Ke Ghar Nahi
Maut Khud Karti Khari Hai Matam Zindagi Nasoor Hai
Yeh Roz-e-Ashoor Hai (×3)

Jis Taraf Uthe Nigahein Bas Yehi Aaye Nazar
Be-Badan Laashe Sinaan Par Teer Talwar-o-Tabar
Dasht Ki Jalti Zameen Par Baithe Hain Ahl-e-Haram
Ek Sakina Ek Baqir Chand Bachche Mahv-e-Gham
Aur Musafir Keh Raha Hai Sab Mujhe Manzoor Hai
Yeh Roz-e-Ashoor Hai (×3)

Baantta Tha Dhoop Suraj Aaj Kyun Gahan Aa Gaya
Ek Libas-e-Sog Saare Dasht Ko Pehnaya Gaya
Us Ne Dekha Ek Beta Jis Ka Bigra Bakht Hai
Waris-e-Shabbir Hai Woh Aur Imam-e-Waqt Hai
Aaj Woh Beemar Bhi Hai Bekas-o-Ranjoor Hai
Yeh Roz-e-Ashoor Hai (×3)

Kis Qadar Pur-Noor Laashe Reh Gaye Jo Be-Kafan
Ek Hamshakl-e-Payambar Ek Qasim Gulbadan
Hai Kahin Aun-o-Muhammad Aur Kahin Hai Be-Zaban
So Gaya Dariya Pe Ja Ke Bekason Ka Pasban
In Ke Gham Mein Aasman Par Chand Bhi Be-Noor Hai
Yeh Roz-e-Ashoor Hai (×3)

Noha-Khwan Irfan Haider Madar-e-Shabbir Se
Kya Masaib Aaj Likhe Tu Ne Mazhar Abidi
Be-Ridai Bikhre Laashe Aur Yeh Jalte Khayam
Aa Gaye Kaghaz Pe Jaise Dasht Ke Manzar Tamam
Lafz Hain Ya Jalte Khaime Har Satr Ashoor Hai
Yeh Roz-e-Ashoor Hai (×3)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin, Imam Baqir
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.