Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yun Rona Na Sakeena

Irfan Haider

2014Urdu
2014UrduImam HussainMuharram
Yun Rona Na Sakeena is an emotional noha recited by Irfan Haider, with poetry by Mazhar Abidi. Set on the night before Ashura, it imagines Imam Hussain (AS) consoling his young daughter Bibi Sakina (SA), preparing her for separation, orphanhood, captivity and the painful journey to Shaam. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Shab-e-Ashur, Ashura
Original
Urdu
Album
Majura Ya Zahra Majura Ya Haideri 2014 - 15

Lyrics

Yun Rona Na Sakeena Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yun Rona Na Sakeena

Yun Rona Na Sakeena

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Yun Rona Na Sakeena

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sakina (×4)

Shab-e-Ashoor Chhoti Shehzadi Se Kehte The Hussain
Meri Jaan Sakina...

Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)
Amma Hi Ki Aaghosh Mein So Jana Sakina
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Allah Kisi Beti Ko Dikhlaye Na Woh Gham
Jo Gham Tumhein Khud De Ke Chale Jayenge Kal Hum
Kal Tumko Na Mil Payega Yeh Baba Ka Seena
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Yeh Baat Ghanimat Hai Tere Waaste Beta
Seene Pe Mere Chain Se So Ja Meri Dukhiya
Kal Khaak Mein Mil Jayega Zahra Ka Nageena
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Ek Baat Main Samjhata Hoon Ae Beti Abhi Se
Shikwa Nahi Karna Kabhi Amma Se, Phuphi Se
Sone Ke Liye Raat Ko Zid Karna Kabhi Na
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Kehte Hain Jise Daagh-e-Yateemi Meri Dukhiya
Kal Sar Pe Tere Baap Ka Saaya Na Rahega
Yeh Ahl-e-Sitam Tujhe Ab Dikhlayenge Keena
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Maangunga Dua Main Teri Khatir Yeh Khuda Se
Mehfooz Rakhe Woh Tujhe Har Ranj-o-Bala Se
Raas Aaye Safar, Aaye Safar Ka Yeh Maheena
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Jo Dard Tujhe Denge Laeen Main Bhi Sahunga
Tum Naaqe Pe Aur Bar-Sar-e-Naiza Main Chalunga
Wada Hai Akela Tumhein Chhodunga Kabhi Na
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Ho Jayegi Tu Qaid, Teri Aah-o-Buka Bhi
Madar Bhi Teri, Phuphiyan Bhi Aur Zainul Iba Bhi
Tumko Usi Zindaan Mein Sona Hai Sakina
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Ae Mazhar-o-Irfan Qayamat Hain Yeh Jumle
Maa Baap Sada Saath Nahi Rehte Kisi Ke
Sheh Kehte The Ab Seekh Lo Bin Baap Ke Jeena
Tum Baad Mere Dekho Yun Rona Na Sakina (×2)

Haaye Sakina, Haaye Sakina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Shab-e-Ashur, Ashura
Original language
Urdu
Album
Majura Ya Zahra Majura Ya Haideri 2014 - 15

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.