Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zamin Hain Imam E Raza

Irfan Haider

2014Urdu
2014UrduImam RazaShahadat Imam Raza
Zamin Hain Imam E Raza is a devotional noha recited by Irfan Haider in praise and remembrance of Imam Ali Raza (AS). Its verses describe the symbolic protection of Taweez-e-Reza, the Imam's generosity and intercession, and the tradition of distributing blessed tokens in mourning assemblies. The concluding verses offer condolences over the martyrdom of Imam Raza (AS) and the grief of Bibi Masooma-e-Qum (SA). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Raza
Occasion
Shahadat Imam Raza, Safar
Original
Urdu
Album
Majura Ya Zahra Majura Ya Haideri 2014 - 15

Lyrics

Zamin Hain Imam E Raza Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zamin Hain Imam E Raza

Zamin Hain Imam E Raza

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Zamin Hain Imam E Raza

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Sayyidi Ya Maulayi
Ya Imam-e-Raza

Ae Ahl-e-Aza Fi Aman-ir-Reza (×2)

Mashhad Se Sada Dete Hain Yeh Imam-e-Reza
Ae Ahl-e-Aza

Baazu Pe Agar Baandh Lo Taweez-e-Reza
Zamin Hain Imam-e-Reza (×3)

Yeh Rasm Nahi Qaul Hai Yeh (Maula Raza Ka) (×2)
Sikka Nahi Taweez Hai Yeh (Radd-e-Bala Ka) (×2)
Mushkil Hi Nahi Raah Se Tal Jaye Qaza
Ae Ahl-e-Aza

Maa Behno Ko Bachchon Ko (Pehnao Yeh Sikka) (×2)
Aur Majalis-e-Shabbir Mein (Batwao Yeh Sikka) (×2)
Ban Jaoge Batil Ke Liye Behr-e-Khuda
Ae Ahl-e-Aza

Hoga Na Koi Khauf (Balaon Ka Kabhi Bhi) (×2)
Tootega Yazidon Ka Bharam (Dekhna Khud Hi) (×2)
Khud Maut Pilayegi Tumhein Aab-e-Baqa
Ae Ahl-e-Aza

Taweez-e-Reza Ho Ya (Alamdar Ka Parcham) (×2)
Dono Hi Mita Dete Hain (Taqdeer Ke Sab Gham) (×2)
Ghazi Ka Alam Dega Tumhein Khud Hi Dua
Ae Ahl-e-Aza

Taboot Uthe Jab Bhi Kahin (Maula Raza Ka) (×2)
Taboot Se Taweez (Dua Karke Uthana) (×2)
Jo Maangoge Us Waqt Tumhein Dega Khuda
Ae Ahl-e-Aza

Har Daur Mein Har Nasl Mein (Raij Ho Yeh Sikka) (×2)
Jo Nasl Abhi Aayengi (Uska Ho Yeh Wirsa) (×2)
Khatoon-e-Qayamat Bhi Tumhein Dengi Dua
Ae Ahl-e-Aza

Dete Raho Pursa Mazloom Raza Ka
Masooma-e-Qum Bhi Talabgaar Hai
Zakhmi Hai Kaleja, Kuch To Ho Dilasa
Woh Bibi Abhi Tak Dilfigaar Hai
Us Dil Ko Isi Tarah Sukoon Aayega
Ae Ahl-e-Aza

Ek Farsh Bichhao, Logon Ko Bulao
Aur Padhke Masaib Karo Yeh Buka
Jab Zehr-e-Sitam Ne Dil Kar Diya Tukde
Duniya Se Sidhara Woh Maula Mera
Tukdon Mein Bata Qalb Simat Jayega
Ae Ahl-e-Aza

Haan Mazhar-o-Irfan, Karte Raho Elaan
Duniya Ko Batao Haqeeqat Hai Kya
Darain Ke Sardar, Hain Malik-o-Mukhtar
Maula Mere Sarkar Imam-e-Reza
Tum Inki Zamanat Mein Rahoge Sada
Ae Ahl-e-Aza

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Raza
Occasion
Shahadat Imam Raza, Safar
Original language
Urdu
Album
Majura Ya Zahra Majura Ya Haideri 2014 - 15

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.