Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zarozaar Mai Roti Rahi

Irfan Haider

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Zarozaar Mai Roti Rahi is an Urdu noha recited by Irfan Haider, expressing Bibi Fatima Sughra's grief while awaiting the return of her father Imam Hussain and her brother Ali Akbar from Karbala. Through a sorrowful letter, she remembers Ali Asghar, Hazrat Abbas, Aun, Muhammad and the family she fears she will never see again.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Zarozaar Mai Roti Rahi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zarozaar Mai Roti Rahi

Zarozaar Mai Roti Rahi

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Zarozaar Mai Roti Rahi

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sughra, Haaye Haaye Sughra (×2)
Haaye Sughra, Haaye Haaye Sughra (×2)

Jab Qasid-e-Sughra Maqtal Mein Pahuncha
Maqtal Mein Pahuncha...
Us Ne Dekha Dasht Mein Tanha
Dasht Mein Tanha...
Baithe Hain Sarwar
Haathon Pe Le Kar Laasha-e-Akbar (×2)

Dil Thaam Ke Phir Maula Ne Tehreer Parhi Sughra Ki
Dukhiya Ne Kiya Tha Nauha
Baba Tum Bhi Na Aaye, Bhaiya Akbar Na Aaye
Na Aaya Mera Alamdar
Zarozaar Main Roti Rahi (×3)
Nauha Tha Yeh Sughra Ka

Jab Shaam Dhale Main Baithi Chaukhat Pe Aa Kar
Nazron Ko Bichha Kar Royi Yeh Baat Keh Kar
Tujhe Aaj Bhi Rahein Roti Hain
Hamsheer Ki Bahein Roti Hain
Mere Akbar, Mere Ghamkhwar
Zarozaar Main Roti Rahi (×3)
Nauha Tha Yeh Sughra Ka

Aur Kaam Mera Ab Kya Hai Aansoo Bahana
Yaad Aaye Mujhe Har Lamha Asghar Ka Jana
Jhoole Ki Hila Kar Doriyan
Deti Hoon Use Main Loriyan
Mera Jeena Hua Dushwar
Zarozaar Main Roti Rahi (×3)
Nauha Tha Yeh Sughra Ka

Din Raat Tumhare Gham Mein Roti Hai Sughra
Ae Baba Chacha Se Kehna Marti Hai Sughra
Kyun Door Main Tum Se Rehti Hoon
Main Bhi To Sakina Jaisi Hoon
Kya Mujh Se Nahi Hai Pyar?
Zarozaar Main Roti Rahi (×3)
Nauha Tha Yeh Sughra Ka

Nazron Mein Sabhi Ke Chehre Rehte Hain Baba
Kyun Aun-o-Muhammad Mujh Se Roothe Hain Baba
Mere Qasim-o-Akbar Aa Jayein
Sab Mere Baradar Aa Jayein
Nahi Jeene Se Phir Inkar
Zarozaar Main Roti Rahi (×3)
Nauha Tha Yeh Sughra Ka

Kuch Roz Ki Main Mehman Hoon Duniya Mein Baba
Kya Tum Ko Gawara Hai Main Mar Jaoon Tanha
Kuch Roz Agar Na Aayenge
Sughra Ko Lahad Mein Payenge
Mere Baba, Mere Sardar
Zarozaar Main Roti Rahi (×3)
Nauha Tha Yeh Sughra Ka

Amma Se Phuphi Zainab Se Keh Dena Baba
Tum Fatiha Parhne Mere Marqad Pe Aana
Akbar Bhi Agar Saath Aayega
Beemar Ko Chain Aa Jayega
Saare Kunbe Ki Matamdar
Zarozaar Main Roti Rahi (×3)
Nauha Tha Yeh Sughra Ka

Jab Meri Lahad Par Pahunche Irfan-o-Mazhar
Donon Ne Diya Tha Pursa Yeh Nauha Parh Kar
Baba Tum Bhi Na Aaye, Bhaiya Akbar Na Aaye
Na Aaya Mera Alamdar
Zarozaar Main Roti Rahi (×3)
Nauha Tha Yeh Sughra Ka

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.