Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zehra Sani

Irfan Haider

2012Urdu
2012UrduImam HussainMuharram
Zehra Sani, is a sorrowful noha recited by Irfan Haider about Bibi Zainab (SA) standing as a captive after Ashura. It recalls the martyrdom of her brothers and nephews, the burning of the tents, the loss of her covering and the suffering of the Ahlulbayt before their journey toward Kufa and Shaam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Lyrics

Zehra Sani Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zehra Sani

Zehra Sani

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Zehra Sani

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Haaye Zainab Makhduma
Haaye Haaye Zainab Mazlooma (×4)

Jab Shaam-e-Ghareeban Guzar Gayi
Wawaila Wawaila
Aur Gyarah Muharram Aa Pahunchi
Wawaila Wawaila
The Barah Gale Aur Ek Rasan
Allah Allah (×2)
Kehti Thi Shah-e-Wala Ki Behen
Allah Allah (×2)

Mera Ghar Luta, Chhini Hai Rida
Bhara Ghar Mera, Qatil-e-Jafa
Are Mere Nainawa Tu Bata
Sunegi Kaise Zainab Haaye
Baad Az Nabi Jo Ki Hai
Ummat Ne Meherbani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Atharah Baradar Ki Behen Aaj Khule Sar Hai
Ek Neze Pe Bhai Hai To Ek Neze Pe Chadar Hai
Kise De Sada Sar-e-Karbala
Aseer-e-Rasan Aseer-e-Jafa
Dil-e-Ghamzada Ne Kiya Marsiya
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Aal-e-Nabi Ki Hurmat Duniya Ne Kyun Na Jaani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Jo Bibi Nahi Nikli Be-Parda Kabhi Ghar Se
Pardes Mein Woh Bibi Chadar Ke Liye Tarse
Badha Hai Yeh Gham, Badhe Hain Sitam
Ke Hain Khaak Par Nabi Ke Haram
Sitam Be-Ghadi, Bekasi, Tishnagi
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Ek Samt Shadiyane Ek Samt Noha-Khwani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Yeh Aal-e-Payambar Ke Ehsanon Ka Badla Hai
Yeh Khaas Ghareebon Ko Qazzabon Ne Loota Hai
Dhuaan Hi Dhuaan, Fughaan Hi Fughaan
Ghareeb-ul-Watan Hue Be-Amaan
Lab-e-Alqama Bawafa Ro Diya
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Jalte Hue Woh Khaime, Pyason Ki Pasbani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Woh Tishna-Dahan Bachche, Woh Sookhe Hue Kooze
Ek Mashk-e-Sakina Par Do Haath Hue Sadqe
Idhar Bawafa, Udhar Ashqiya
Gira Khaak Par Alam Khoon Bhara
Yateema Koi Keh Ke Yeh Ro Padi
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Woh Haath Qeemti The Ya Qeemti Tha Pani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Be-Dard Musalman Se Zainab Ne Yahi Poochha
Seena Ali Akbar Ka Barchhi Ke Liye Tha Kya
Na Dulha Bana, Na Sehra Bandha
Woh Kadiyal Jawan Haan Pyasa Gaya
Qaza Ro Padi, Karbala Keh Uthi
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Barchhi Ki Woh Ani Aur Akbar Ki Naujawani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Bhoolegi Nahi Bano Chehra Ali Asghar Ka
Shabbir Ke Haathon Par
Haaye Laasha Ali Asghar Ka
Uda Di Rida, Koi Fatiha
Mere Laal Ko Bhala Kya Mila
Bujhi Teer Se Tishnagi Bas Yahi
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Woh Teer Hurmala Ka, Asghar Ki Be-Zabani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Tukdon Mein Bata Laasha Ek Raat Ke Dulha Ka
Simta Hua Gathri Mein Qasim Ka Janaza Tha
Woh Gul-Pairahan, Dil-e-Panjtan
Na Madfan Bana, Na Ghusl-o-Kafan
Thi Mehwe-Buka Ek Shab Ki Dulhan
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Thapon Ki Zad Pe Aayi Bhai Ki Ek Nishani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Jab Gyarah Muharram Ke Suraj Ki Kiran Dekhi
Sajjad Ne Zanjeerein, Zainab Ne Rasan Dekhi
Chali Nange Sar Rasan Pehen Kar
Bina Bhai Ke Hai Pehla Safar
Kahan Alvida Ae Qatil-e-Jafa
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Taiyariyan Safar Ki, Abid Ki Sarbani

Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Sani (×2)

Akhtar Ki Zameen Mazhar Nohe Mein Dhali Aise
Jab Shaam Gayi Zainab Irfan-e-Aza Ban Ke
Tha Kaisa Sajao Dayar-e-Jafa
Kahin Aaine Kahin Ashqiya
Haram Nange Sar Keh Ke Yeh Ro Diye
Bhoolegi Kaise Zainab Haaye
Baad Az Nabi Jo Ki Hai Ummat Ne Meherbani

Haaye Haaye Zainab, Haaye Haaye Shaam (×3)
Meri Chadar Lut Layi Zalim Ne
Darbar Gayi Main Be-Rida
Haaye Haaye Zainab, Haaye Haaye Shaam (×3)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.