Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aaja Mere Bachche

Nadeem Sarwar

1998Urdu
1998UrduImam HussainMuharram
Aaja Mere Bachche, also catalogued as Aa Ae Mere Hussain, is a 1998 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi. It portrays the lament of Bibi Fatima Zahra for Imam Hussain as he lies wounded upon the scorching battlefield of Karbala, recalling her love for him in childhood and his suffering on Ashura.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1998
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18

Lyrics

Aaja Mere Bachche Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aaja Mere Bachche

Aaja Mere Bachche

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aaja Mere Bachche

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ashoor ka sooraj hai, qayaamat ki ghari hai
Bhai ka gala kat-ta behan dekh rahi hai
Maqtal mein kisi maa ki sada goonj rahi hai
Aa aye mere Hussain, meri god mein aaja
Aaja mere bachche, meri aaghosh mein aaja

Aaja mere bachche, meri aaghosh mein aaja ×2

Mere liye aye laal tu Asghar ki tarah hai
Godi meri gehwaara hai, bistar ki tarah hai
Is dhoop mein daaman mera chaadar ki tarah hai

Main maa hoon, mera dil nahin seene mein sambhalta
Naazuk yeh badan tera, yeh jalta hua sehra
Aur is mein sitam yeh ke tu reh gaya pyaasa

Main god mein le loon, tujhe seene se laga loon
Seene pe Sakina ki tarah tujhko sula loon
Seene mein tere teer main palkon se nikaaloon

Aa kar mere zaanu pe jo so jaate the beta
Chakki ki mashaqqat ke bhi pehlu nahin badla
Ab kaise tujhe chhor doon maqtal mein akela

Meri bhi to aulaad hai, tu bhi to padar hai
Aulaad ka gham kya hai, yeh tujhko bhi khabar hai
Gham bachche ka seh jaaye, yeh kis maa ka jigar hai

Tu let gaya thak ke is jalti zameen par
Yeh kiska lahu tu ne mala rukh-e-haseen par
Mat khaak pe so laal, teri maa hai yahin par

Jo dil pe tere guzri main sab dekh rahi thi
Har laash uthaane mein tere saath gayi thi
Ab baat woh kehti jo bachpan mein kahi thi

Aa aye mere Hussain, meri god mein aaja
Aaja mere bachche, meri aaghosh mein aaja ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1998
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.