Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aao Alam Ke Saaye Mein Aao

Nadeem Sarwar

2000Urdu
2000UrduImam AliMuharram
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao is a 2000 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Jab Mula Aeinge, Vol. 20. Through devotion to the Alam of Hazrat Abbas, the poetry invites mourners to seek spiritual comfort, care for children, offer water in remembrance of Bibi Sakina, and continue the traditions of Majlis and Azadari.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2000
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, 8 Muharram
Original
Urdu
Album
Jab Mula Aeinge, Vol. 20

Lyrics

Aao Alam Ke Saaye Mein Aao Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aao Alam Ke Saaye Mein Aao

Aao Alam Ke Saaye Mein Aao

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aao Alam Ke Saaye Mein Aao

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Yeh teri duniya, yeh duniya-daari
Insaaniyat hai bechain saari
Anjaane khadshe, yeh beqaraari
Sab kuch hai phir bhi sab se bezaari
Lekin yeh maano koi Khuda hai
Uska waseela kuch keh raha hai
Jab bhi koi gham ka ehsaas paao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Duniya yeh teri kya tujhko degi
Kisko diya hai jo tujhko degi ×2
Apni muraadein Ghazi se paao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Tere sahaare toot gaye kya
Apne paraaye rooth gaye kya ×2
Roothe huon ko apne manaao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Jab gham rulaaye, jab dil ho bojhal
Teri wafa ka dekh lo ek pal ×2
Kya gham hai, gham ko ab bhool jaao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Saaye mein mere ab bhi rehti
Meri Sakina pyaari bhateeji ×2
Jab aao bachchon ko saath laao
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Khush hogi tumse meri Sakina
Garmi ka jab bhi aaye maheena ×2
Paani parindon ko bhi pilaao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Aye mere aaqa, aye pursadaaro
Aye nauha-khwaano, maatam-guzaaro ×2
Jaao jahaan bhi Majlis karaao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Mere alam par bibiyo aana
Sar ko Khudara apna chhupaana ×2
Sab ne sataaya, tum na sataao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Aath Muharram parcham saja kar
Bachchon ko apne saqqa bana kar ×2
Naam-e-Sakina paani pilaao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Beta hoon main bhi Mushkil-Kusha ka
Pyaara hoon main bhi Haajat-Rawa ka ×2
Thokar lage jab, jab chot khaao ×2
Aao alam ke saaye mein aao ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2000
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, 8 Muharram
Original language
Urdu
Album
Jab Mula Aeinge, Vol. 20

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.