Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abad Wallah Ya Zahra

Nadeem Sarwar

2012Urdu and Arabic
2012Urdu and Arabic
Abad Wallah Ya Zahra is Nadeem Sarwar's 2012 title noha built around a pledge to Bibi Fatima Zahra that the remembrance of Imam Hussain and Karbala will never be forgotten. Urdu and Arabic passages celebrate azadari, loyalty, sacrifice and the continuing memory of Ashura.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Original
Urdu and Arabic
Album
Abad Wallah Ya Zahra

Lyrics

Abad Wallah Ya Zahra Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Abad Wallah Ya Zahra

Abad Wallah Ya Zahra

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Abad Wallah Ya Zahra

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Teen Shaban sada-e-Konain
Marhaba Salle Ala, ho gaya zuhoor-e-Maula Hussain
Aghosh-e-Fatima se Hussain Aghosh-e-Risalat mein aaye
Hussain dekh ke Nana ko muskuraate hain
Magar yeh kya hua Chashm-e-Rasool-e-Akram se
Khushi ke waqt bhi aansu tapakte jaate hain
Sawal kar diya Zahra ne, aye mere Baba, udaas kyun hue
Kyun sogwar hai chehra
Kaha Rasool ne, Zahra main khush hua
Yeh tera laal mere deen ko bachaaye ga
Main roya is liye Zahra, watan se door
Akela, pyasa, ghareebi mein maara jaaye ga
Aur us qayamat mein na main na tum
Na Ali honge, na Hasan hoga
Na koi pyara na koi apna hoga
Kinaare nehr ke be-gor-o-be-kafan hoga
Tadap ke poochha Nabi se Hussain ki Maa ne
To mere Baba bhala is pe kaun roye ga
Kaha Rasool ne Zahra na fikr kar beti
Khuda ki samt se maujood ek qabeela hai
Jo isko roye ga ta-hashr uska wada hai
Jo na Hussain ko bhoole ga
Na Hussain usko bhoole ga
Saare jahan se un ki musalsal sada hogi
Hussain Hussain Hussain

Wada hai hamara Ya Fatima Zahra
Nahin bhoolenge Hussaina

Usne hum ko na bhulaya
Hum ne usko na bhulaya
Hussainun hubbuhu yamhul khataya
Huwa an-nuru alladhi yahdi al-baraya
Minhu laha badrul-huda
Lan nansahu tulal-mada

Abadan Wallah Ya Zahra, ma nansa Hussaina
Halla halla ya waliyyana
Ihna khuddamak jeena
Wada hai yeh Wallah Ya Fatima Zahra
Nahin bhoolenge Hussaina

Qasam Allah ki woh jis ne hamein khalq kiya
Aur Karb-o-Bala ke liye makhsoos kiya
Hum wohi log hain Wallah, dua-e-Zahra
Usne Hal min jo kaha, Nasirin yansurna
Hum ne Labbaik kaha
Usne hum ko na bhulaya
Hum ne usko na bhulaya
Abadan Wallah Ya Zahra, ma nansa Hussaina
Halla halla ya waliyyana
Ihna khuddamak jeena
Wada hai yeh Wallah Ya Fatima Zahra
Nahin bhoolenge Hussaina

Azzamallahu lakal ajra Ali
Bil musibati Ya Haider, Ya Ali

Ya Ali, aap ke har ranj-o-masaib ki qasam
Aap ke gham ki hai maqrooz yeh nasl-e-Adam
Chaudah sadiyon se musalsal hai aza-o-matam
Go ke har chand hue haath qalam, paon qalam
Zaair-e-Karb-o-Bala ke na ruke phir bhi qadam
Azzamallahu lakal ajra Ali
Bil musibati Ya Haider, Ya Ali
Law qatta'u arjulana wal-yadayn
Na'tika zahfan Sayyidi Ya Hussain
Abadan Wallah Ya Zahra, ma nansa Hussaina
Halla halla ya waliyyana
Ihna khuddamak jeena
Wada hai hamara Ya Fatima Zahra
Nahin bhoolenge Hussaina

Ek wada hai jo Shabbir se hum sab ne kiya
Ek wada hai jo Shabbir ne bachpan mein liya
Apne Maa-Baap se, Nana se, Baradar se kaha
Aap sab mere azadaron ko kya denge sila
Bole Sarkar-e-Muhammad, main shafa'at dunga
Bole Haider, main Kausar ki basharat dunga
Aur Hasan bole, main Sardar hoon, Jannat dunga
Boli Zahra, tera wada hai, shahadat dunga
Main bhi Jannat mein na rakhungi qadam, mere Hussain
Jab talak Khuld mein jaayen na azadar-e-Hussain
Abadan Wallah Ya Zahra, ma nansa Hussaina
Halla halla ya waliyyana
Ihna khuddamak jeena
Imam Hussain, Imam Hussain
Wada hai hamara Ya Fatima Zahra
Nahin bhoolenge Ya Zahra

Aati hai Fatima Zahra ki sada
Aye azadaro suno, aye azadaro suno
Aye azadaro, na jab tum bhoole
Bhool jaaye tumhein Zahra kaise
Mujh pe kya kya na masaib toote
Mera do baar jala ghar logo
Mere pehloo pe gira dar logo
Dagh-e-Mohsin hai jigar par logo
Mujh ko darbar bula kar logo
Kata hai Qalb-e-Payambar logo
Nahin bhoolenge Ya Zahra

Na main Abbas-e-Alamdar ke bazoo bhooli
Na main Zainab ka tadapna kisi pehloo bhooli
Gard-alood Sakina ke na gesu bhooli
Na hi Sajjad ke khoon-rang woh aansu bhooli
Nahin bhoolenge Ya Zahra

Apne bachche ke rafeeqon ko bichhadta dekha
Khaak par Aun-o-Muhammad ko tadapta dekha
Maine tukde hue Qasim ka janaza dekha
Eriyan khaak par Akbar ko ragadta dekha
Maine Asghar ka gala teer mein uljha dekha
Jis ghadi laal mera zeen se reti pe gira
Teg-o-zarbon se mere saamne sar uska kata
Hussain Hussain

Haaye phir Sham-e-Ghareeban ne mujhe loot liya
Woh rida meri thi, aada ne jise loot liya
Main na bhoolungi woh bazaar
Haaye woh Shaam ka darbar
Nahin bhoolungi woh zindaan
Haaye mera Abid-e-beemar

Zahra nahin bhoolenge
Nahin bhoolenge Wallah

Shabbir ki ghurbat ko
Naize pe tilawat ko
Zahra nahin bhoolenge
Nahin bhoolenge Wallah

Abbas ko, Akbar ko
Qasim, Ali Asghar ko
Zahra nahin bhoolenge
Hargiz nahin bhoolenge

Jalte hue khaimon ko
Chhinti hui chadar ko
Zahra nahin bhoolenge
Hargiz nahin bhoolenge

Zainab ki shuja'at ko
Abid ki qayadat ko
Zahra nahin bhoolenge
Hargiz nahin bhoolenge

Abadan Wallah Ya Zahra, ma nansa Hussaina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Original language
Urdu and Arabic
Album
Abad Wallah Ya Zahra

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.