Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abbas Aa Rahe Hain

Nadeem Sarwar

1999Urdu
1999UrduHazrat AbbasMuharram
Abbas Aa Rahe Hain is a 1999 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Hussain Zinda Bad, Vol. 19. It describes the courage of Hazrat Abbas as he advances towards the River Euphrates carrying his standard and Bibi Sakina's water-skin. The verses portray his valour, the thirst of the children of Karbala, and the grief of Imam Hussain and Bibi Zainab when the bloodstained standard returns.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1999
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Lyrics

Abbas Aa Rahe Hain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Abbas Aa Rahe Hain

Abbas Aa Rahe Hain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Abbas Aa Rahe Hain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas aa rahe hain
Ek shor hai Al-Amaan ×4

Abbas aa rahe hain ×2
Ek shor hai Al-Amaan ×4

Abbas aa rahe hain ×2

Ek haath mein alam aur mashk-e-Sakina
Abbas aa rahe hain ×2

Kaandhe pe mashk, mashk mein dil hai diler ka
Darya ko chheen lena nahin kaam der ka
Ehsaan tishnagi mein milega na ghair ka
Bigra hua mizaaj hai ×2
Bigra hua mizaaj hai Haider ke sher ka
Abbas aa rahe hain ×2

Chehra hai Wal-Qamar ki ziyaon se noor noor
Aankhon se jhaankta hua Wan-Najm ka suroor
Baala-qadi hai aisi ke sharmaaye Koh-e-Toor
Zulfein daraaz aisi ×2
Zulfein daraaz aisi ke Wal-Lail ka shaoor
Abbas aa rahe hain ×2

Pyaasa hai sher, ghaat ka rasta na rokna
Aankhein jhukaao, sher ki jaanib na dekhna
Kaise bachegi jaan, yeh laazim hai sochna
Abbas hai jalaal mein ×2
Abbas hai jalaal mein, hargiz na tokna
Abbas aa rahe hain ×2

Tewar bata rahe hain qayaamat uthaayega
Tegh-e-nazar se iski Khuda hi bachaayega
Aaya jo saamne koi woh maara jaayega
Ek mashk mein Furaat ko ×2
Ek mashk mein Furaat ko bhar kar dikhaayega
Abbas aa rahe hain ×2

Qabza hua Furaat par, al-qissa mukhtasar
Paani ko dekh phat gaya Abbas ka jigar
Aankhein lahu lahu hui bachchon ki pyaas par
Baali Sakina bachchon se ×2
Baali Sakina bachchon se kehti rahi udhar
Abbas aa rahe hain ×2

Khaime ke dar pe pyaasi Sakina thi muntazir
Jumbish alam ki dekh ke deti thi yeh khabar
Tishna-labon, dua mein tumhaari hua asar
Woh dekho aa raha hai ×2
Woh dekho aa raha hai Chacha ka alam nazar
Abbas aa rahe hain ×2

Aaya alam zaroor magar khoon mein bhara
Zainab ne sar ko peet ke Shabbir se kaha
Kyun kham kamar hai aapki, Ghazi kahaan gaya?
Bole Hussain ab koi ×2
Bole Hussain ab koi pyaasa na de sada
Abbas aa rahe hain ×2

Ek haath mein alam aur mashk-e-Sakina
Abbas aa rahe hain ×2

Ek shor hai Al-Amaan ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1999
Personalities
Hazrat Abbas, Imam Hussain, Bibi Sakina, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Hazrat Abbas at the Euphrates, Thirst of the children of Karbala, Martyrdom of Hazrat Abbas
Original language
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.