Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abbas Aajao

Nadeem Sarwar

2010Urdu
2010Urdu
Abbas Aajao is Nadeem Sarwar's 2010 noha portraying Imam Hussain calling for Hazrat Abbas during his final moments in Karbala. The verses express Hussain's loneliness after losing his standard-bearer and his longing for his brother's support.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Original
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Lyrics

Abbas Aajao Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Abbas Aajao

Abbas Aajao

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Abbas Aajao

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aakhri salam

Maqtal mein pahunche jab Shah-e-Wala
Lashe jawan aur khaimon ko dekha
Darya ko dekha phir ye pukara
Ab ye salam-e-akhir hai mera

Abbas aajao, Bhai akela hai
Tanha musafir ko lakhon ne ghera hai

Tumne na dekhi ghurbat hamari
Zainab thi layi meri sawari
Rukhsat ka meri manzar ajab tha
Seene se lag jao, Bhai akela hai

Abbas aajao, Bhai akela hai
Tanha musafir ko lakhon ne ghera hai

Jab se ho bichhde Abbas hum se
Ahl-e-Haram hain lipte alam se
Kaise jiyegi Bali Sakina
Kya hoga batlao, Bhai akela hai

Abbas aajao, Bhai akela hai
Tanha musafir ko lakhon ne ghera hai

Lashkar kahan ka jab tum nahin ho
Aada to khush hain ab tum nahin ho
Kitna akela, kitna hoon tanha
Seene mein hain ghaao, Bhai akela hai

Abbas aajao, Bhai akela hai
Tanha musafir ko lakhon ne ghera hai

Din bhar uthaye kitne janaze
Ab kaun hai jo dega dilase
Hote agar tum, dete dilasa
Aao chale aao, Bhai akela hai

Abbas aajao, Bhai akela hai
Tanha musafir ko lakhon ne ghera hai

Mujh par baraste ye sang dekho
Bekas ki tanha ki jang dekho
Dekho na toote Nana se wada
Himmat badha jao, Bhai akela hai

Abbas aajao, Bhai akela hai
Tanha musafir ko lakhon ne ghera hai

Jab Shimr khanjar ko pherta tha
Qatil ne Shah se khud ye suna tha
Pyasa gala us dam ye pukara:
Surat dikha jao, Bhai akela hai

Abbas aajao, Bhai akela hai
Tanha musafir ko lakhon ne ghera hai

Sar Shah ka aaya nok-e-sina par
Aayi sada ye Rehan-o-Sarwar
Be-sar pada hai Bhai ka lasha
Ab to chale aao, Bhai akela hai

Abbas aajao, Bhai akela hai
Tanha musafir ko lakhon ne ghera hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Original language
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.