Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abbas Hamara Hai

Nadeem Sarwar

2005Urdu
2005Urdu
Abbas Hamara Hai is Nadeem Sarwar's 2005 noha praising Hazrat Abbas as the standard-bearer of Imam Hussain, the embodiment of loyalty, generosity and courage, and the protector of the Karbala caravan.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Original
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Lyrics

Abbas Hamara Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Abbas Hamara Hai

Abbas Hamara Hai

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Abbas Hamara Hai

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas-e-Ali aaye qareeb-e-Shah-e-Abrar ×2

Bhai ko alam de ke kiya Sheh ne bahut pyar
Hans hans ke rafiqon se ye karne lage guftar
Jaisi ye meri fauj hai waisa hi Alamdar
Ghazi sa koi deen ka sardar na hoga
Abbas sa duniya mein Alamdar na hoga

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2
Hashim ka qamar, Haider-e-Karrar ka pyara
Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Haider ke gharane ki sakhawat Sakhi Abbas
Khoon-e-Abu Talib ki sadaqat Sakhi Abbas
Zahra ki duaon ki taharat Sakhi Abbas
Qudrat ne banaya nahin phir aisa dobara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Quran-e-wafa, Sher-e-Nayastan-e-Ali hai
Zahra ki tamanna hai, dil-o-jaan-e-Ali hai
Is ke liye bachpan hi se farman-e-Ali hai
Main ilm ka darya hoon, ye darya ka kinara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Paida hue Abbas to godi mein utha kar
Zainab ne rakha naam kaleje se laga kar
Chhota sa alam Sheh ne diya unko saja kar
Dekha jo alam ne to alam khud ye pukara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Ye Panjetan-e-Pak ke lashkar ka nishan hai
Kehte hain ye Shabbir, mera sher-e-jawan hai
Aisa koi duniya mein Alamdar kahan hai
Sehwan se hai Shahbaz Qalandar ka ye naara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Abbas-e-Ali rooh-e-wafa, jaan-e-wafa hai
Abbas-e-Ali Fatima Zahra ki dua hai
Har waqt alam choomti rehti ye hawa hai
Bhoola nahin Abbas ko darya ka kinara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Duniya-e-shahadat mein kahan uska hai sani
Jo saare shaheedon ki safon mein raha Ghazi
Be-dast bhi ho kar jo bhare jholiyan sab ki
Hashim ka qamar, saare faqiron ka sahara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Haider ke gharane ki sakhawat Sakhi Abbas
Khoon-e-Abu Talib ki sadaqat Sakhi Abbas
Zahra ki duaon ki taharat Sakhi Abbas
Qudrat ne banaya nahin phir aisa dobara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Ye Panjetan-e-Pak ke lashkar ka nishan hai
Kehte hain ye Shabbir, mera sher-e-jawan hai
Aisa koi duniya mein Alamdar kahan hai
Sehwan se hai Shahbaz Qalandar ka ye naara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Lazim hai ke hum dekhenge ek roz ye manzar
Farmayenge jab Mehdi-e-Dauran dar-e-mimbar
Kaabe se namudar jo hoga mera lashkar
Hoga yehi lashkar ka Alamdar hamara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Yaad aata hai woh rukhsat-e-Abbas ka manzar
Woh rona Sakina ka pharere ko pakad kar
Woh dekhna Zainab ka kabhi sar, kabhi chadar
Kehti thi: palat aaye Behen-Bhai ka pyara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Abbas gaye, ho gaya Maula mera tanha
Dekha kabhi maidan to kabhi janib-e-darya
Nagah alam nehr pe girte hue dekha
Zainab se kaha: sher gaya nehr pe mara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Aye Sarwar-o-Rehan, ye iman hai apna
Abbas ke parcham ka sada sar pe hai saya
Padhne ke liye hashr mein Shabbir ka noha
Abbas bulayenge hamein kar ke ishara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×2

Hashim ka qamar ×2
Haider-e-Karrar ka pyara

Sakhi Abbas hamara hai, Alamdar hamara ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Original language
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.