Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Achey Merey Baba

Nadeem Sarwar

2010Urdu
2010Urdu
Achey Merey Baba is Nadeem Sarwar's 2010 noha portraying Bibi Sakina during Imam Hussain's final farewell. The verses capture a daughter's fear as she realizes her father is leaving for the battlefield and repeatedly asks him not to forget her.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Original
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Lyrics

Achey Merey Baba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Achey Merey Baba

Achey Merey Baba

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Achey Merey Baba

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye kya aalam-e-tanhai hai

Jab aakhri rukhsat ko chale Sayyid-e-Wala
Kohram tha, dil hote the gham se tah-o-bala
Shabbir ne godi se Sakina ko utara
Ghazi ko, kabhi Akbar-o-Qasim ko pukara
Baba ko qasam de ke bulati thi Sakina
Sar peetti, peechhe chali jati thi Sakina

Achey Merey Baba
Haye kya aalam-e-tanhai hai

Achey Merey Baba
Na Sakina se chhupana
Kahin bhool na jana

Dil rota hai
Kyun pehna hai malboos purana?
Kahin bhool na jana

Is tarah safar par
Koi jata nahin dekha
Pehne tumhein aisa
Kabhi kurta nahin dekha
Main jaan gayi
Aaj hai maqtal mein thikana
Kahin bhool na jana

Achey Merey Baba
Na Sakina se chhupana
Kahin bhool na jana

Shah bole:
Main qurban, meri jaan Sakina
Ek wada hai
Jo aaj nibhana hai Sakina
Khaimon se nikal kar
Na hamein dhoondhne aana
Kahin bhool na jana

Achey Merey Baba
Na Sakina se chhupana
Kahin bhool na jana

Kal raat se bechain the
Main dekh rahi thi
Main seene pe leti thi
Magar soyi kahan thi
Ab samjhi
Tumhein hum se bahut door hai jana
Kahin bhool na jana

Achey Merey Baba
Na Sakina se chhupana
Kahin bhool na jana

Aata hai nazar
Haal-e-gharibi ka tumhari
Lagta hai ye saman
Yateemi ka hamari
Baba, hamein jeene nahin dega ye zamana
Kahin bhool na jana

Achey Merey Baba
Na Sakina se chhupana
Kahin bhool na jana

Akbar, kabhi Asghar
Kabhi Qasim ne rulaya
Jo ran ko gaya
Aaj palat kar nahin aaya
Bhooli nahin ab tak
Main Chacha Jaan ka jana
Kahin bhool na jana

Achey Merey Baba
Na Sakina se chhupana
Kahin bhool na jana

Pehlu se Shah-e-Deen ke
Na hatti thi Sakina
Daman kabhi qadmon se
Lipatti thi Sakina
Tadpata hai
Ye aap ka daman ko chhudana
Kahin bhool na jana

Achey Merey Baba
Na Sakina se chhupana
Kahin bhool na jana

Aye Sarwar-o-Rehan
Ye kehne lage Sarwar:
Hum bhi wahin jate hain
Jahan sote hain Asghar
Beti, Phuphi Amma ko
Na ro ro ke rulana
Kahin bhool na jana

Achey Merey Baba
Na Sakina se chhupana
Kahin bhool na jana

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Original language
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.