Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Achi Nahi Yeh Baat

Nadeem Sarwar

1999Urdu
1999UrduImam HussainMuharram
Achi Nahi Yeh Baat is a 1999 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Hussain Zinda Bad, Vol. 19. Set on the night before Ashura, the poetry portrays Imam Hussain lovingly preparing his young daughter Bibi Sakina for the approaching separation. He encourages her to find comfort with her mother, practise patience and prepare for the hardships of captivity.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1999
Occasion
Muharram, Shab-e-Ashur
Original
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Lyrics

Achi Nahi Yeh Baat Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Achi Nahi Yeh Baat

Achi Nahi Yeh Baat

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Achi Nahi Yeh Baat

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ashoor ki shab hai, Sakina ka woh rona
Aur Sayyid-e-Mazloom ka beti se yeh kehna
Arey tu roye, main yeh dekh nahin sakta Sakina
Achi nahin yeh baat, na roya karo Bibi ×2

Pehlu mein kabhi Maa ke bhi soya karo Bibi ×2
Achi nahin yeh baat, na roya karo Bibi ×2

Kya hove kisi shab ko jo hum ghar mein na aayein
Tum humko na paao, tumhein hum bhi nahin paayein
Tarpogi nahin dard se, waada karo Bibi
Pehlu mein kabhi Maa ke bhi soya karo Bibi ×2
Achi nahin yeh baat, na roya karo Bibi ×2

Arey baitha karo kuch der charaaghon ko bujha kar
Samjha karo is khaak ko aye laadli bistar
Baali kabhi yunhi nahin pehna karo Bibi
Pehlu mein kabhi Maa ke bhi soya karo Bibi ×2
Achi nahin yeh baat, na roya karo Bibi ×2

Arey kuch der ko yeh farz karo hum na rahe gar
Baaqi na rahe haath koi rakhne ko sar par
Maahaul yateemon ka bhi socha karo Bibi
Pehlu mein kabhi Maa ke bhi soya karo Bibi ×2
Achi nahin yeh baat, na roya karo Bibi ×2

Aadat zara tanhaayi mein rehne ki bhi daalo
Tasveer tasavvur mein aseeri ki bana lo
Aazaad parindon ko na dekha karo Bibi
Pehlu mein kabhi Maa ke bhi soya karo Bibi ×2
Achi nahin yeh baat, na roya karo Bibi ×2

Arey Asghar ko na maanoos karo pyaar se apne
Akbar ki uroosi ke na dekha karo sapne
Sughra ke qareeb itna na baitha karo Bibi
Pehlu mein kabhi Maa ke bhi soya karo Bibi ×2
Achi nahin yeh baat, na roya karo Bibi ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1999
Personalities
Imam Hussain, Bibi Sakina, Bibi Rabab, Ali Asghar, Ali Akbar, Bibi Sughra
Occasion
Muharram, Shab-e-Ashur
Themes
Farewell of Imam Hussain and Bibi Sakina, Impending captivity of Ahlulbayt, Patience and separation
Original language
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.