Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aey Madina Ghazab Ho Gaya

Nadeem Sarwar

2013Urdu
2013Urdu
Aey Madina Ghazab Ho Gaya is Nadeem Sarwar's 2013 noha portraying Bibi Kulsoom's lament as the surviving caravan returns to Madina. The verses recount the loss of the family of Hussain, the burning tents, captivity and the absence of little Sakina.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Original
Urdu
Album
Chalay Aao Aey Zawwaro

Lyrics

Aey Madina Ghazab Ho Gaya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aey Madina Ghazab Ho Gaya

Aey Madina Ghazab Ho Gaya

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aey Madina Ghazab Ho Gaya

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain ×4

Qafila jab watan laut aaya
Aa ke Bab-e-Madina pe thehra
Gird ujre hue qafile ke
Pursadaron ne halqa banaya

Shor-e-matam utha
Shor-e-girya utha ×3

Aey Madina ghazab ho gaya ×2
Bibi Kulsoom ka tha ye noha
Aey Madina ghazab ho gaya

Aey Madina ghazab ho gaya ×2
Shehr-e-Nana ke laiq tak badi na

Aey Madina ghazab ho gaya ×2
Bibi Kulsoom ka tha ye noha
Aey Madina ghazab ho gaya

Shehr-e-Nana ke hum aaye ujre hue
Khair-maqdam ke qabil kahan hum rahe
Shehr-e-Nana ke laiq tak badi na

Aey Madina ghazab ho gaya ×2

Haye Nana, bhara ghar ka ghar lut gaya
Chadarein lut gayin, maal-o-zar lut gaya
Tha Muharram ka kaisa mahina

Aey Madina ghazab ho gaya ×2

Choomte the jise aap Nana sada
Tegh-zarbon se kata gaya woh gala
Shimr ke dil mein tha kitna keena

Aey Madina ghazab ho gaya ×2

Bhai atharah the, koi bhi na raha
Chhe mahine ka Asghar bhi mara gaya
Lut gaya sab hamara khazina

Aey Madina ghazab ho gaya ×2

Asr-e-Ashur naizon pe sar aa gaye
Aayi Shaam-e-Ghareeban to khaime jale
Sar pe chadar kisi ke bachi na

Aey Madina ghazab ho gaya ×2

Be-rida humko dar dar phiraya gaya
Zulm hai, koocha koocha sajaya gaya
Barish-e-pattharon ki ruki na

Aey Madina ghazab ho gaya ×2

Haye Amma, gale se laga lo hamein
Apne marqad mein lillah chhupa lo hamein
Is qadar pehle paidal chali na

Aey Madina ghazab ho gaya ×2

Ho gaya hashr Rehan-o-Sarwar bapa
Ro ke Shahzadiyon ne ye jis dam kaha
Sath aayi na Bali Sakina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Original language
Urdu
Album
Chalay Aao Aey Zawwaro

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.