Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aisa Alam Hai Kahan

Nadeem Sarwar

2004Urdu
2004UrduImam HussainMuharram
Aisa Alam Hai Kahan is a 2004 noha by Nadeem Sarwar celebrating the unmatched significance of Hazrat Abbas (AS), his Alam, his loyalty, and his sacrifice in Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2004
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, 8 Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Nabi Nabi Hoga

Lyrics

Aisa Alam Hai Kahan Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aisa Alam Hai Kahan

Aisa Alam Hai Kahan

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aisa Alam Hai Kahan

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aisa Alam Hai Kahan

Ya Abbas ×2

Aisa Alam Hai Kahan
Aisa Jawaan Hai Kahan ×2

Yeh hai Abu Talib ka gharana
Is pe Khuda ka khaas karam hai
Saare Arab mein, saare Ajam mein
Kis ko mila yeh jaah-o-hasham hai
In mein koi Yaseen-o-Muzzammil
In mein koi Sardaar-e-Iram hai ×2
Us ki alag hi shaan hai Maula
Jis ko mila Haider ka Alam hai

Aisa Alam Hai Kahan
Aisa Jawaan Hai Kahan ×2

Kaisa saja hai, kaisa haseen hai
Karb-o-Bala mein Shah ka lashkar
Yun to sabhi hain Sher-e-Dilawar
Aun-o-Muhammad, Qasim-o-Akbar
Ibn-e-Mazahir, Wahab-e-Kalbi
John bhi, Hurr bhi, saare dilawar ×2
Apni jagah yeh sab hain bahadur
Fauj mein teri, ae Shah-e-Safdar

Aisa Alam Hai Kahan
Aisa Jawaan Hai Kahan ×2

Baad-e-Namaz-e-Fajr ziyarat
Tere Alam ki karta hoon
Sharaf ghulami ka mil jaaye
Main yeh wazifa padhta hoon
Karke ziyarat tere Alam ki
Phir main ghar se chalta hoon ×2
Saaye mein chaudah Masoomon ke
Shukr-e-Khuda mein rehta hoon

Aisa Alam Hai Kahan
Aisa Jawaan Hai Kahan ×2

Hum to sajde daar-e-Ali hain
Khaas yeh tujh se rishta hai
Jad bhi hai tera, kul ka Maula
Tu bhi hamara Aaqa hai
Tere faqeeron mein ae Ghazi
Arsh nasheen bhi rehta hai ×2
Sindh mein aao Maula, qadam par
Laal Qalandar kehta hai

Aisa Alam Hai Kahan
Aisa Jawaan Hai Kahan ×2

Shaam ke lashkar mein halchal thi
Kaun Jari ab aata hai
Budhe jawaanon se kehte the
Yeh to Ali ab aata hai
Sar pe Khuda, thokar mein qaza hai
Qahr-e-Jali ab aata hai ×2
Kehna pada Ahmad ko Ali se
Tera wasi ab aata hai

Aisa Alam Hai Kahan
Aisa Jawaan Hai Kahan ×2

Teri shahadat se kunbe par
Kaisi qayamat toot gayi
Jis ko kaha karte the Aaqa
Qatl hua woh bhai bhi
Sar se chhini Zainab ki chadar
Teri Sakina qaid hui ×2
Haaye teri majboori Ghazi
Maa Zahra yeh kehti rahi

Aisa Alam Hai Kahan
Aisa Jawaan Hai Kahan ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2004
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, 8 Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Nabi Nabi Hoga

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.