Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Akhpala Baba Jana

Nadeem Sarwar

2003Urdu / Pashto
2003Urdu / PashtoImam HussainMuharram
Akhpala Baba Jana is a 2003 noha recited by Nadeem Sarwar from Volume 23, also distributed as Dua E Kumail and Ya Sari Al Raza. It reflects on farewell before battle. Read the Roman lyrics, Urdu text and English translation with original refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2003
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu / Pashto
Album
Dua E Kumail (Volume 23, 2003)

Lyrics

Akhpala Baba Jana Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Akhpala Baba Jana

Akhpala Baba Jana

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Akhpala Baba Jana

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Pyaare Baba Jaan ×5
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Pyaare Baba Jana ×2
Utro Zuljanah se Baba, haal sun ke jaana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Is tunsha qatal kana ×2
Maadar ta da ta Zuljanah ab khaine waale dina
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Qatl gaah na jaana ×2
Sar qadmon pe Zuljanah ke rakhti hai Sakina
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Aye Baba, garm reti par tum zara si der baith jaao
Miloge ab hamein kahaan, tum Sakina ko bata ke jaao
Akhpala Baba Jana ×2
Karbala ke ban mein Baba, mujhko na rulaana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Ma ta pa garm rego ke na ×4
Akhpala Baba Jana ×2
Wede Karbala watan ke deja dele dina
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Aye Baba, Akbar-e-jawaan ka hai dil pe zakhm mere taaza
Sunehri zulf khoon mein doobi, zameen-e-garm pe hai laasha
Akhpala Baba Jana ×2
Gul-zamaan ko Baba mere, dhoop se uthaana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Aye Baba, Alqama ka saahil chacha ke khoon se hai rangeen
Qalam hue jo unke baazu, hai mauj-e-Alqama bhi ghamgeen
Akhpala Baba Jana ×2
Khoon bhare alam ko Baba seene se lagaana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Aye Baba, gul tha Shah Qasim, bikhar gaya hai, aah Qasim
Lagaai kis liye thi mehndi, hua tha kyun biyaah Qasim
Akhpala Baba Jana ×2
Tukre tukre laasha Baba, gul samajh kar laana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Aye Baba, be-zabaan ka jhoola ruka hua hai aandhiyon mein
Labon pe jiske tha tabassum badal gaya hai hichkiyon mein
Akhpala Baba Jana ×2
Loriyan suna ke Baba, dasht mein sulaana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Aye Baba, door hoon watan se, dari hui hoon khooni ban se
Chale gaye jo aap ran mein, khizaan na jaayegi chaman se
Akhpala Baba Jana ×2
Dekho Baba, seena apna teeron se bachaana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Aye Baba, kaan ki yeh baali tumhaare haathon se jo pehni
Mujhe yeh khauf aa raha hai, chheene na aap ki nishaani
Akhpala Baba Jana ×2
Mannati yeh baali Baba, khud barha ke jaana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Kaha Hussain Badshah ne, hamein to ghera hai qaza ne
Chale hain hum to shahzaadi watan se door sar kataane
Gul Sakina jaane ×2
Qatl-gaah mein beta, humko dhoondhne na aana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Bataayein kya Rehan-o-Sarwar, Hussain jab chale the ran mein
To peechhe peechhe Zuljanah ke chali Sakina roti ban mein
Akhpala Baba Jana ×2
Achha mere Baba, shab ko dekho laut aana
Akhpala Baba Jana ×2
Khudshe Zuljanah na ma ke sohre dale dina ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2003
Personalities
Imam Hussain, Bibi Sakina, Ali Akbar, Ali Asghar, Hazrat Abbas, Hazrat Qasim
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Farewell before battle, Sakina and her father, Multilingual lament
Original language
Urdu / Pashto
Album
Dua E Kumail (Volume 23, 2003)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.