Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Alamdar Na Aaya

Nadeem Sarwar

2014Urdu
2014Urdu
Alamdar Na Aaya is Nadeem Sarwar's 2014 noha mourning Hazrat Abbas after his martyrdom beside the Euphrates. The verses remember Imam Hussain's broken heart, Bibi Sakina's thirst, the bloodstained standard and Bibi Zainab waiting for the protector of the tents.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Original
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Lyrics

Alamdar Na Aaya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Alamdar Na Aaya

Alamdar Na Aaya

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Alamdar Na Aaya

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aye Ahl-e-Haram
Mera Alamdar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Maula ki kamar tooti
Jis dam ye khabar aayi
Mara gaya darya par
Shabbir ka shaidayi
Khoon bhar gaya aankhon mein
Jati rahi binayi

Maqtal se Sakina ka
Woh ghamkhwar na aaya

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Jab khoon mein tar aaya
Abbas ka woh parcham
Tapti hui reti par
Atfal the sab be-dam
Sarwar ne kiya noha
Zainab ne kiya matam

Chillaye Haram:
Ghazi-o-Jarrar na aaya

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Hukm-e-Shah-e-Wala par
Darya ko utha lata
Kya karta bhala Ghazi?
Mehroom-e-ijazat tha
Koshish to bohat ki par
Lakhon mein ghira tanha

Jab mashk chhidi
Phir woh wafadar na aaya

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Zahra ke gharane ka
Woh zamin-e-chadar tha
Maslak mein thi saqqai
Kirdar mein Haider tha
Jis waqt kate bazu
Ghazi ke bahe aansu

Lene gaye Maula
Woh dil-afgar na aaya

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Bachchon ki sadaein thin:
Abbas Chacha, pani
Ek mashk lahu de kar
Ek mashk bhara pani
Us Mashk-e-Sakina se
Jis waqt baha pani

Woh mar gaya darya pe
Haider na aaya

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Woh Sher-e-Dilawar tha
Tanha bhi jo lashkar tha
Afsos lab-e-darya
Ek lasha-e-be-sar tha
Hal Min ki sada sunta
Rota tha, tadapta tha

Shabbir ka shaida
Woh madadgar na aaya

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Jalte hue khaimon se
Zainab ki sada aayi:
Aye Baba Ali, dekho
Beti ki ye tanhai

Ye mashk-o-alam aaya
Aaya na mera bhai

Baba, mere kunbe ka
Tarafdar na aaya

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Rehan se, Sarwar se
Woh dard bayan kaise?
Jis Sher ki darras par
Abad rahe khaime
Jalte hue khaimon se
Ghabra ke jo Zainab ne
Kitni bhi sadaein din

Woh ek baar na aaya

Saqqa-e-Hussain
Sayyid-o-Salar na aaya ×2

Alamdar na aaya ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Original language
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.