Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ale Rasool Kucha O Bazaar

Nadeem Sarwar

1996Urdu
1996UrduImam AliMuharram
Ale Rasool Kucha O Bazaar is a 1996 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi, from Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16. Also known as Sarkar Ya Ali, it addresses Imam Ali while describing the captivity of the Prophet's family, the suffering of Bibi Zainab and Bibi Sakina, and the sorrow of Imam Zainul Abidin after Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1996
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16

Lyrics

Ale Rasool Kucha O Bazaar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ale Rasool Kucha O Bazaar

Ale Rasool Kucha O Bazaar

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ale Rasool Kucha O Bazaar

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali
Sarkar Ya Ali ×2
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali
Roti to hogi aap ki talwaar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Shehzaadiyon ke sar pe ridaayein nahin raheen
Bachchon ke paas bachchon ki maaen nahin raheen
Khushiyaan to kya khushi ki ×2
Hawaayein nahin raheen
Luti gayi hai aap ki sarkaar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Abbas jo Hussain ke lashkar ki aas tha
Lagta tha saath hai jab tak woh paas tha
Na khauf koi tha ×2
Kisi ko yeh raas tha
Utha hai sar se saaya-e-deewaar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Chheeni gayin sitam se Sakina ki baaliyaan
Rukhsaar par numayaan tamaachon ke hain nishaan
Shimr-e-la'een jo bachchon ko ×2
Deta hai ghurkiyaan
Maqtal mein kaanpta hai Alamdar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Ab Shaam ka safar aur Nabi ki nawaasiyaan
Pehne hue hain Sayyid-e-Sajjad beriyaan
Zaalim jo le ke aaye hain ×2
Laashon ke darmiyaan
Aankhon se khoon bahaata hai beemaar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Woh dekho baazuon mein hain Zainab ke rassiyaan
Sar nange jiski maa ko na dekhe hai aasmaan
Balwe mein sar khule hain ×2
Woh Makhdooma-e-jahaan
Koi nahin hai moonis-o-ghamkhwaar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Zehra lahad ko chhor ke Yathrib aayi hai
Faryaad apne lab pe Khadija bhi laayi hai
Maqtul Karbala mein ×2
Jo Zainab ka bhai hai
Maara gaya Khuld ka sardaar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Baazu qalam hue, alam hai lahu lahu
Asghar ke khoon se kar liya Shabbir ne wuzu
Phaili hui hai gham ×2
Ki faza aisi chaar-soo
Jis mein hai saans lena bhi dushwaar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Roti to hogi aap ki ×2
Talwaar, Ya Ali
Aal-e-Rasool koocha-o-bazaar, Ya Ali

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1996
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Captivity of Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.